लिखना
प्रेम करने में दर्ज हो चुका था
जैसे बैठ जाना आँख मूँद लेने में होता है
मैं बैठा हुआ था
और लिख रहा था हाथों से बहुत कम
बल्कि हाथों को मूँद कर
तुम्हारे गहरे नीले आसमान में खुलना
जैसे तारों को मूँद कर अँधेरा खुलता है
यह आश्चर्य नहीं है
मुझे तुम्हारे बालों में
अपना डूबता चेहरा नहीं
उगती हुई उँगलियाँ देखनी हैं
तुम्हारे पैरों में
महकता है
मेरे देस का इतिहास
मैं उन्हें किताब की तरह पकड़े हूँ
बैठे हुए पढ़ रहा हूँ इन्हें
यही शब्द
जिन्हें देखा कहीं नहीं
और वर्तनी भी ग़लत है
ऊष्मा मूँद चुके उल्कापिंड की तरह
किसी पहाड़ से टकराऊँगा
जल रहे टुकड़े सालों साल तक
इन शब्दों की तरह
ठंडे होने को पड़े होंगे
इन्हें बरसों तक देखा नहीं गया होगा
ये क्यों आए थे यहाँ
इन्हें अब आगे कहाँ जाना है
इनके होने के कई कारण होंगे
मगर सारे शाब्दिक
तुम जो यह कविता पढ़ते हुए
यहाँ तक आई हो
ऊष्मा हो
likhna
prem karne mein darj ho chuka tha
jaise baith jana ankh moond lene mein hota hai
main baitha hua tha
aur likh raha tha hathon se bahut kam
balki hathon ko moond kar
tumhare gahre nile asman mein khulna
jaise taron ko moond kar andhera khulta hai
ye ashcharya nahin hai
mujhe tumhare balon men
apna Dubta chehra nahin
ugti hui ungliyan dekhni hain
tumhare pairon men
mahakta hai
mere des ka itihas
main unhen kitab ki tarah pakDe hoon
baithe hue paDh raha hoon inhen
yahi shabd
jinhen dekha kahin nahin
aur vartani bhi ghalat hai
uushma moond chuke ulkapinD ki tarah
kisi pahaD se takraunga
jal rahe tukDe salon saal tak
in shabdon ki tarah
thanDe hone ko paDe honge
inhen barson tak dekha nahin gaya hoga
ye kyon aaye the yahan
inhen ab aage kahan jana hai
inke hone ke kai karan honge
magar sare shabdik
tum jo ye kavita paDhte hue
yahan tak aai ho
uushma ho
likhna
prem karne mein darj ho chuka tha
jaise baith jana ankh moond lene mein hota hai
main baitha hua tha
aur likh raha tha hathon se bahut kam
balki hathon ko moond kar
tumhare gahre nile asman mein khulna
jaise taron ko moond kar andhera khulta hai
ye ashcharya nahin hai
mujhe tumhare balon men
apna Dubta chehra nahin
ugti hui ungliyan dekhni hain
tumhare pairon men
mahakta hai
mere des ka itihas
main unhen kitab ki tarah pakDe hoon
baithe hue paDh raha hoon inhen
yahi shabd
jinhen dekha kahin nahin
aur vartani bhi ghalat hai
uushma moond chuke ulkapinD ki tarah
kisi pahaD se takraunga
jal rahe tukDe salon saal tak
in shabdon ki tarah
thanDe hone ko paDe honge
inhen barson tak dekha nahin gaya hoga
ye kyon aaye the yahan
inhen ab aage kahan jana hai
inke hone ke kai karan honge
magar sare shabdik
tum jo ye kavita paDhte hue
yahan tak aai ho
uushma ho
स्रोत :
रचनाकार : अभिजीत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.