कितने नामों को छूते हो जिह्वा की नोंक से इस तरह
कि मुँह भर जाता हो छालों से
कितने नामों को सहलाते हो उँगलियों की थाप से यूँ
कि पोरों से छूटता हो पसीना
कितने नाम तैरते हैं तुम्हारी स्मृति की नदी में ऐसे
कि डूबने लगता हो तुम्हारा अस्तित्व
कितने नामों को पुकारते हो इतने प्राणों से
कि पाँव के निर्जीव नखों तक पहुँचता हो
तुम्हारे लहू का ताप
कितने नाम चढ़ पाते हैं तुम्हारे हृदय के शिखर तक
जो लहरा सकते हों अपने कटे-फटे स्वप्न की ध्वजा
किसी हठधर्मी विजेता की तरह
तुम्हारी वेदना का शौर्य है वह नाम
तुम्हारी आत्मा की हिचकी
आँखों का सूख चला जल
श्वास की विस्मृत लय
तुम्हारी घायल इच्छाओं के फल की एक फाँक है
वह नाम
तुम्हारे शुष्क कंठ का उपवास है
kitne namon ko chhute ho jihwa ki nonk se is tarah
ki munh bhar jata ho chhalon se
kitne namon ko sahlate ho ungliyon ki thap se yoon
ki poron se chhutta ho pasina
kitne nam tairte hain tumhari smriti ki nadi mein aise
ki Dubne lagta ho tumhara astitw
kitne namon ko pukarte ho itne pranon se
ki panw ke nirjiw nakhon tak pahunchta ho
tumhare lahu ka tap
kitne nam chaDh pate hain tumhare hirdai ke sikhar tak
jo lahra sakte hon apne kate phate swapn ki dhwaja
kisi hathdharmi wijeta ki tarah
tumhari wedna ka shaury hai wo nam
tumhari aatma ki hichki
ankhon ka sookh chala jal
shwas ki wismrit lai
tumhari ghayal ichchhaon ke phal ki ek phank hai
wo nam
tumhare shushk kanth ka upwas hai

स्रोत :
रचनाकार : बाबुषा कोहली
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.