हमारे पास ही नहीं
पहाड़ों के पास भी होती हैं आँखें
कनेरी की चोटी पर जो गुंबद है
उसी से वह देखती है
हज़ार बागों के इस शहर को
जहाँ बचे हैं बस कुछ ही बाग़
वह देखती है
हरे-भरे खेतों को सिमटते
उन पर उगते जंगल को
जो न चूसता है
अपनी हरियाली के लिए
कार्बन डाई आक्साइड
और न ही जीवन के लिए
उत्सर्जित करता है आक्सीजन
हम देख सकें तो देखें
कनेरी की आँखों से देखें
हमें नज़र आएगा उनमें
अपना अतीत ही नहीं
वर्तमान और भविष्य भी।
*कनेरी हजारीबाग़ (झारखंड) की एक पहाड़ी।
hamare paas hi nahin
pahaDon ke paas bhi hoti hain ankhen
kaneri ki choti par jo gumbad hai
usi se wo dekhti hai
hazar bagon ke is shahr ko
jahan bache hain bas kuch hi baagh
wo dekhti hai
hare bhare kheton ko simatte
un par ugte jangal ko
jo na chusta hai
apni hariyali ke liye
karban Dai aksaiD
aur na hi jivan ke liye
utsarjit karta hai aksijan
hum dekh saken to dekhen
kaneri ki ankhon se dekhen
hamein nazar ayega unmen
apna atit hi nahin
vartaman aur bhavishya bhi.
*kaneri hajaribagh (jharkhanD) ki ek pahaDi.
hamare paas hi nahin
pahaDon ke paas bhi hoti hain ankhen
kaneri ki choti par jo gumbad hai
usi se wo dekhti hai
hazar bagon ke is shahr ko
jahan bache hain bas kuch hi baagh
wo dekhti hai
hare bhare kheton ko simatte
un par ugte jangal ko
jo na chusta hai
apni hariyali ke liye
karban Dai aksaiD
aur na hi jivan ke liye
utsarjit karta hai aksijan
hum dekh saken to dekhen
kaneri ki ankhon se dekhen
hamein nazar ayega unmen
apna atit hi nahin
vartaman aur bhavishya bhi.
*kaneri hajaribagh (jharkhanD) ki ek pahaDi.
स्रोत :
रचनाकार : कौशल किशोर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.