अभी जो कुछ हुआ नहीं है
वह घट रहा है कल्पनाओं में
जो होते-होते रह गया
जिसे हो जाना चाहिए था
या नहीं होना था इस तरह
जैसे हो चुका है
कल्पनाओं के आसमान में
उड़ानें छोटी नहीं पड़ती
कहीं न कहीं सब छोड़ देते हैं ज़मीन
चाहता है आदम पैरों से आज़ादी
चलकर पहुँचने का धैर्य नहीं फूटता
कल्पनाओं के बीज से
जितनी भी ट्रेनें छूटीं
कल्पनाओं ने उन्हें पकड़ लिया
जितनी जगहों से तोड़ना पड़ा डेरा
कल्पनाएँ लौटती रहीं बार-बार
उन जगहों के चक्कर काटने
जिन्हें नहीं दे पाया प्रेम
कल्पनाओं में लुटाता रहा प्रेम उन पर
जो असमय विलीन हो गए
जीवन की नीरवता में
कल्पनाएँ उनसे पूछती रहीं
यथार्थ के यक्ष प्रश्न
जिनसे कुशल-क्षेम नहीं पूछ पाया
कल्पनाएँ लिखती रहीं उन्हें चिट्ठियाँ
जिन पर उधार रहा कुछ न कुछ
कल्पनाएँ जोड़ती रहीं सिक्के दायित्व के
चुका सकने को ब्याज की रक़म
कल्पनाओं में सदैव अजेय की तरह जिया
एक नायक जो एक ही युद्ध में कई बार मर जाता है
पुनश्च उठता है किसी और युद्ध में और लौट आता है
अपनी युयुत्सु उत्प्रेक्षाओं के पास
कल्पनाओं ने न होने का समय भी देखा
अपने होने और न होने की संभावनाओं को लाँघते हुए
पीछे और आगे की क़तारबद्ध सदियाँ देखीं
संभावनाओं को नहीं जाना पड़ता कहीं
बनी रहतीं हैं जस की तस
समय की सड़क पर
ट्रैफ़िक सिग्नलों की तरह
जो है वह नहीं रहेगा
कल्पनाओं के कथेतर में
जो नहीं है वह उपजता रहेगा
आती हुई नस्लों के साथ
जाती हुई नस्लों के साथ
कल्पनाएँ ढूँढ़ लेंगी अपनी जीविका।
abhi jo kuch hua nahin hai
wo ghat raha hai kalpnaon mein
jo hote hote rah gaya
jise ho jana chahiye tha
ya nahin hona tha is tarah
jaise ho chuka hai
kalpnaon ke asman mein
uDanen chhoti nahin paDti
kahin na kahin sab chhoD dete hain zamin
chahta hai aadam pairon se azadi
chalkar pahunchne ka dhairya nahin phutta
kalpnaon ke beej se
jitni bhi trenen chhutin
kalpnaon ne unhen pakaD liya
jitni jaghon se toDna paDa Dera
kalpnayen lautti rahin bar bar
un jaghon ke chakkar katne
jinhen nahin de paya prem
kalpnaon mein lutata raha prem un par
jo asamay wilin ho gaye
jiwan ki nirawta mein
kalpnayen unse puchhti rahin
yatharth ke yaksh parashn
jinse kushal kshaem nahin poochh paya
kalpnayen likhti rahin unhen chitthiyan
jin par udhaar raha kuch na kuch
kalpnayen joDti rahin sikke dayitw ke
chuka sakne ko byaj ki raqam
kalpnaon mein sadaiw ajey ki tarah jiya
ek nayak jo ek hi yudh mein kai bar mar jata hai
punashch uthta hai kisi aur yudh mein aur laut aata hai
apni yuyutsu utprekshaon ke pas
kalpnaon ne na hone ka samay bhi dekha
apne hone aur na hone ki sambhawnaon ko langhate hue
pichhe aur aage ki qatarbaddh sadiyan dekhin
sambhawnaon ko nahin jana paDta kahin
bani rahtin hain jas ki tas
samay ki saDak par
traffic signlon ki tarah
jo hai wo nahin rahega
kalpnaon ke kathetar mein
jo nahin hai wo upajta rahega
ati hui naslon ke sath
jati hui naslon ke sath
kalpnayen DhoonDh lengi apni jiwika
abhi jo kuch hua nahin hai
wo ghat raha hai kalpnaon mein
jo hote hote rah gaya
jise ho jana chahiye tha
ya nahin hona tha is tarah
jaise ho chuka hai
kalpnaon ke asman mein
uDanen chhoti nahin paDti
kahin na kahin sab chhoD dete hain zamin
chahta hai aadam pairon se azadi
chalkar pahunchne ka dhairya nahin phutta
kalpnaon ke beej se
jitni bhi trenen chhutin
kalpnaon ne unhen pakaD liya
jitni jaghon se toDna paDa Dera
kalpnayen lautti rahin bar bar
un jaghon ke chakkar katne
jinhen nahin de paya prem
kalpnaon mein lutata raha prem un par
jo asamay wilin ho gaye
jiwan ki nirawta mein
kalpnayen unse puchhti rahin
yatharth ke yaksh parashn
jinse kushal kshaem nahin poochh paya
kalpnayen likhti rahin unhen chitthiyan
jin par udhaar raha kuch na kuch
kalpnayen joDti rahin sikke dayitw ke
chuka sakne ko byaj ki raqam
kalpnaon mein sadaiw ajey ki tarah jiya
ek nayak jo ek hi yudh mein kai bar mar jata hai
punashch uthta hai kisi aur yudh mein aur laut aata hai
apni yuyutsu utprekshaon ke pas
kalpnaon ne na hone ka samay bhi dekha
apne hone aur na hone ki sambhawnaon ko langhate hue
pichhe aur aage ki qatarbaddh sadiyan dekhin
sambhawnaon ko nahin jana paDta kahin
bani rahtin hain jas ki tas
samay ki saDak par
traffic signlon ki tarah
jo hai wo nahin rahega
kalpnaon ke kathetar mein
jo nahin hai wo upajta rahega
ati hui naslon ke sath
jati hui naslon ke sath
kalpnayen DhoonDh lengi apni jiwika
स्रोत :
रचनाकार : आदर्श भूषण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.