कहीं एक जगह है, जिसे कोई नहीं जानता।
वहीं एक तालाब है, जिसमें एक अपरिचित फूल खिलता है,
तालाब के किनारे साँप के जोड़े लड़खड़ाते हैं
और घनी बँसवारियों के कुँज में अँधेरा बैठा रहता है
छुपकर।
उसका एक नक़्शा है, जिसमें एक शहर है
उसका एक गीत है, जिसमें एक जंगल है
उसकी एक अपनी ठंड है, जिसे कोई नहीं पहचानता।
कहीं एक जगह है—जिसे
कोई नहीं जानता।
वहीं एक आदमी गीतों में ज़िंदा हो उठता है।
अपरिचित फूल का नाम गढ़ता है
साँपों की भाषा बनाता है
और अँधेरे से फैलने को
कहता है।
किनारे पर सूरज ढलता है
उत्तर से दक्षिण चिड़ियों के झुंड उड़े चले जाते हैं।
फिर धुआँ...साँपों की सीत्कार का लोलुप आकर्षण
डर नहीं लगता। इसी धरती पर कहीं वह
जगह है—जिसे कोई नहीं जानता।
कहीं एक जगह, एक अपरिचित फूल, एक आदमी,
और आदमी को चूमती हुई एक नन्ही-सी ख़ूबसूरत ज़िंदगी
कहती है—'चलो, बहुत
देर हो गई है।'
kahin ek jagah hai, jise koi nahin janta
wahin ek talab hai, jismen ek aprichit phool khilta hai,
talab ke kinare sanp ke joDe laDkhaDate hain
aur ghani bansawariyon ke kunj mein andhera baitha rahta hai
chhupkar
uska ek naqsha hai, jismen ek shahr hai
uska ek geet hai, jismen ek jangal hai
uski ek apni thanD hai, jise koi nahin pahchanta
kahin ek jagah hai—jise
koi nahin janta
wahin ek adami giton mein zinda ho uthta hai
aprichit phool ka nam gaDhta hai
sanpon ki bhasha banata hai
aur andhere se phailne ko
kahta hai
kinare par suraj Dhalta hai
uttar se dakshain chiDiyon ke jhunD uDe chale jate hain
phir dhuan sanpon ki sitkar ka lolup akarshan
Dar nahin lagta isi dharti par kahin wo
jagah hai—jise koi nahin janta
kahin ek jagah, ek aprichit phool, ek adami,
aur adami ko chumti hui ek nannhi si khubsurat zindagi
kahti hai—chalo, bahut
der ho gai hai

स्रोत :
पुस्तक : अपनी सदी के नाम (पृष्ठ 65)
रचनाकार : दूधनाथ सिंह
प्रकाशन : साहित्य भंडार
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.