पूरब में पानी से भरा गड्ढा गहरा
पच्छिम के पड़ोस में कुक्कुर पगला
दक्खिन की सड़क पर भीड़-भाड़ अपार
उत्तर में बिजली का लटकता नंगा तार
देखो तो देखो
कहाँ गई आख्या?
कभी-कभी दिखता है इधर एक मलंग
कभी-कभी उड़ती है कोई कटी पतंग
अभी-अभी हो रहा था किसी का प्रचार
अभी-अभी एक जीप भागी धुरझार
देखो तो दौड़कर
किधर गई आख्या?
हर किसी की साइकिल पर हो जाती सवार
सबके घर पहुँच जाती देने समाचार
सबसे बतियाती है बाबा की नानी-सी
उसके लिए हर गोद जानी पहचानी-सी
इधर गई आख्या
या उधर गई आख्या?
चुप मारो, चुप मारो
उधर देखो, उस नल के पास
कौन उठा रहा है शीशे का गिलास?
गिलास से पूछ रही है आख्या—
‘तुम्हारी मम्मी कहाँ है?’
purab mein pani se bhara gaDDha gahra
pachchhim ke paDos mein kukkur pagla
dakhkhin ki saDak par bheeD bhaD apar
uttar mein bijli ka latakta nanga tar
dekho to dekho
kahan gai akhya?
kabhi kabhi dikhta hai idhar ek malang
kabhi kabhi uDti hai koi kati patang
abhi abhi ho raha tha kisi ka parchar
abhi abhi ek jeep bhagi dhurjhar
dekho to dauDkar
kidhar gai akhya?
har kisi ki cycle par ho jati sawar
sabke ghar pahunch jati dene samachar
sabse batiyati hai baba ki nani si
uske liye har god jani pahchani si
idhar gai akhya
ya udhar gai akhya?
chup maro, chup maro
udhar dekho, us nal ke pas
kaun utha raha hai shishe ka gilas?
gilas se poochh rahi hai akhya—
‘tumhari mammy kahan hai?’
purab mein pani se bhara gaDDha gahra
pachchhim ke paDos mein kukkur pagla
dakhkhin ki saDak par bheeD bhaD apar
uttar mein bijli ka latakta nanga tar
dekho to dekho
kahan gai akhya?
kabhi kabhi dikhta hai idhar ek malang
kabhi kabhi uDti hai koi kati patang
abhi abhi ho raha tha kisi ka parchar
abhi abhi ek jeep bhagi dhurjhar
dekho to dauDkar
kidhar gai akhya?
har kisi ki cycle par ho jati sawar
sabke ghar pahunch jati dene samachar
sabse batiyati hai baba ki nani si
uske liye har god jani pahchani si
idhar gai akhya
ya udhar gai akhya?
chup maro, chup maro
udhar dekho, us nal ke pas
kaun utha raha hai shishe ka gilas?
gilas se poochh rahi hai akhya—
‘tumhari mammy kahan hai?’
स्रोत :
रचनाकार : अष्टभुजा शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.