देश की राजधानी में भूख
कर देती मेरी हत्या
और मेरी लाश!
फेंक देती इधर-उधर कहीं गंदगी में
मैं सड़ता रहता परंतु हत्यारी भूख
निराश हो गई !
बात है कुछ समय पहले की है
जब कहीं जाने के लिए मज़बूर था मैं
घर से बहुत दूर था मैं
चुराने वाले चुरा चुके थे मेरे बैग मेरे पैसे
पहली बार घर से निकला था मैं—
मैं रोने लगा
मुझे घर की याद आई
क्षण-क्षण बाद आई
भीड़ से निकलकर तभी एक सज्जन आए
आपबीती सुनी मेरी बीच राह
दिया नव उत्साह
खाना खिलाया भरपेट
बिठाकर बस में दिए कुछ पैसे भी
और कहा—हम कभी ज़रूर मिलेंगे ओ मेरे दोस्त!
फिर कभी नहीं मिले वे
लेकिन मिल गई मुझे एक कहानी
कोई परेशान है तो भीड़ से निकलकर
ध्यान रखना है कैसे
भूखे व्यक्ति का सम्मान रखना है कैसे
खाना खिलाना है कैसे? देने भी हैं कुछ पैसे
कैसे भेजना है उसको अपने घर
ठीक से बस में बिठाकर
हाँ! ये कहते हुए—
हम कभी ज़रूर मिलेंगे ओ मेरे दोस्त!
desh ki rajdhani mein bhookh
kar deti meri hatya
aur meri laash!
phenk deti idhar udhar kahin gandgi men
main saDta rahta parantu hatyari bhookh
nirash ho gai !
baat hai kuch samay pahle ki hai
jab kahin jane ke liye mazbur tha main
ghar se bahut door tha main
churane vale chura chuke the mere baig mere paise
pahli baar ghar se nikla tha main—
main rone laga
mujhe ghar ki yaad aai
kshan kshan baad aai
bheeD se nikalkar tabhi ek sajjan aaye
apabiti suni meri beech raah
diya nav utsaah
khana khilaya bharpet
bithakar bas mein diye kuch paise bhi
aur kaha—ham kabhi zarur milenge o mere dost!
phir kabhi nahin mile ve
lekin mil gai mujhe ek kahani
koi pareshan hai to bheeD se nikalkar
dhyaan rakhna hai kaise
bhukhe vyakti ka samman rakhna hai kaise
khana khilana hai kaise? dene bhi hain kuch paise
kaise bhejna hai usko apne ghar
theek se bas mein bithakar
haan! ye kahte hue—
hum kabhi zarur milenge o mere dost!
desh ki rajdhani mein bhookh
kar deti meri hatya
aur meri laash!
phenk deti idhar udhar kahin gandgi men
main saDta rahta parantu hatyari bhookh
nirash ho gai !
baat hai kuch samay pahle ki hai
jab kahin jane ke liye mazbur tha main
ghar se bahut door tha main
churane vale chura chuke the mere baig mere paise
pahli baar ghar se nikla tha main—
main rone laga
mujhe ghar ki yaad aai
kshan kshan baad aai
bheeD se nikalkar tabhi ek sajjan aaye
apabiti suni meri beech raah
diya nav utsaah
khana khilaya bharpet
bithakar bas mein diye kuch paise bhi
aur kaha—ham kabhi zarur milenge o mere dost!
phir kabhi nahin mile ve
lekin mil gai mujhe ek kahani
koi pareshan hai to bheeD se nikalkar
dhyaan rakhna hai kaise
bhukhe vyakti ka samman rakhna hai kaise
khana khilana hai kaise? dene bhi hain kuch paise
kaise bhejna hai usko apne ghar
theek se bas mein bithakar
haan! ye kahte hue—
hum kabhi zarur milenge o mere dost!
स्रोत :
रचनाकार : खेमकरण ‘सोमन’
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.