जब भी ऐसा लगे
कि बारिश
मौसम का नाम नहीं
कोशिश है ऊब से निकलने की
हैरान मत होइएगा...
अभी कल की मुसलाधार बारिश में
पिछले दंगे में मारा गया आदमी
हाथ जोड़कर रोता हुआ
क़ब्र के बाहर भींगता रहा
अभी कल की बारिश में
एक औलिया की टूटी दरगाह पर
वही आदमी एक संगीतकार की तरह
उदास करने की ग़रज़ से
शब्दों के नुकीले हथियार से
बार-बार हत्यारे के अट्टहास-सी धुन बजाता रहा
यह याद दिलाता हुआ कि
बारिश की फुहारें कभी भी
हत्यारे की ऊब को कम नहीं करती
कभी भी बारिश
दंगों की याद में
घिरने के बाद
किसी को रहम के लिए नहीं छोड़ती...
jab bhi aisa lage
ki barish
mausam ka naam nahin
koshish hai uub se nikalne ki
hairan mat hoiega. . .
abhi kal ki musladhar barish mein
pichhle dange mein mara gaya adami
haath joDkar rota hua
qabr ke bahar bhingta raha
abhi kal ki barish men
ek auliya ki tuti dargah par
vahi adami ek sangitkar ki tarah
udaas karne ki gharaz se
shabdon ke nukile hathiyar se
baar baar hatyare ke attahas si dhun bajata raha
ye yaad dilata hua ki
barish ki phuharen kabhi bhi
hatyare ki uub ko kam nahin karti
kabhi bhi barish
dangon ki yaad men
ghirne ke baad
kisi ko rahm ke liye nahin chhoDti. . .
jab bhi aisa lage
ki barish
mausam ka naam nahin
koshish hai uub se nikalne ki
hairan mat hoiega. . .
abhi kal ki musladhar barish mein
pichhle dange mein mara gaya adami
haath joDkar rota hua
qabr ke bahar bhingta raha
abhi kal ki barish men
ek auliya ki tuti dargah par
vahi adami ek sangitkar ki tarah
udaas karne ki gharaz se
shabdon ke nukile hathiyar se
baar baar hatyare ke attahas si dhun bajata raha
ye yaad dilata hua ki
barish ki phuharen kabhi bhi
hatyare ki uub ko kam nahin karti
kabhi bhi barish
dangon ki yaad men
ghirne ke baad
kisi ko rahm ke liye nahin chhoDti. . .
स्रोत :
रचनाकार : श्रीधर करुणानिधि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.