न्याय के उत्स की शिनाख़्त के लिए
देखो गौर से इसकी आँखों की ओर
मुक्ति का पता भी
चादर हटाते हुए पैरों से लग सकता है
वही कभी अपने रोने से
कभी अपनी नन्ही जीभ की हरकतों से
कभी महज़ अपने देखने से
दिखाती है भूख की मासूम शक्ल
सिखाती है, अपनी माँ को
और अपने पूरे परिवार को न्याय का ककहरा
भाषा में सृजन का पक्ष लिखती
इसी बच्ची के नाभिकेंद्र में है
रिश्तों की वह दुनिया,
जहाँ सभी रहते हैं एक साथ
और इसी के हाथ
महफ़ूज़ रखते हैं वह गरमाहट
जो हमारे सीनों में जारी है
और उसी के चलते कभी तनती है हमारी मुट्ठियाँ
जहाँ हम देखते हैं सभ्यता के रक्तरंजित दृश्य में
चीख़ते बच्चों का हाहाकार
और उसी के चलते
हमारे पाँव बढ़ते हैं उस रास्ते पर
जिस पर चलकर हमारी माँ ने हमें रचा था
सो ग़ौर से देखो, इस नन्हे फ़रिश्ते को
न्याय और अन्याय का फ़र्क़ समझने के लिए
यहाँ आओ
हमारी माँ के पास
जो अभी गहरी नींद में मुस्का रही है
और गा रही है
nyay ke uts ki shinakht ke liye
dekho gaur se iski ankhon ki or
mukti ka pata bhi
chadar hatate hue pairon se lag sakta hai
wahi kabhi apne rone se
kabhi apni nannhi jeebh ki harakton se
kabhi mahz apne dekhne se
dikhati hai bhookh ki masum shakl
sikhati hai, apni man ko
aur apne pure pariwar ko nyay ka kakahra
bhasha mein srijan ka paksh likhti
isi bachchi ke nabhikendr mein hai
rishton ki wo duniya,
jahan sabhi rahte hain ek sath
aur isi ke hath
mahfuz rakhte hain wo garmahat
jo hamare sinon mein jari hai
aur usi ke chalte kabhi tanti hai hamari mutthiyan
jahan hum dekhte hain sabhyata ke raktranjit drishya mein
chikhte bachchon ka hahakar
aur usi ke chalte
hamare panw baDhte hain us raste par
jis par chalkar hamari man ne hamein racha tha
so ghaur se dekho, is nannhe farishte ko
nyay aur annyaye ka farq samajhne ke liye
yahan aao
hamari man ke pas
jo abhi gahri neend mein muska rahi hai
aur ga rahi hai
nyay ke uts ki shinakht ke liye
dekho gaur se iski ankhon ki or
mukti ka pata bhi
chadar hatate hue pairon se lag sakta hai
wahi kabhi apne rone se
kabhi apni nannhi jeebh ki harakton se
kabhi mahz apne dekhne se
dikhati hai bhookh ki masum shakl
sikhati hai, apni man ko
aur apne pure pariwar ko nyay ka kakahra
bhasha mein srijan ka paksh likhti
isi bachchi ke nabhikendr mein hai
rishton ki wo duniya,
jahan sabhi rahte hain ek sath
aur isi ke hath
mahfuz rakhte hain wo garmahat
jo hamare sinon mein jari hai
aur usi ke chalte kabhi tanti hai hamari mutthiyan
jahan hum dekhte hain sabhyata ke raktranjit drishya mein
chikhte bachchon ka hahakar
aur usi ke chalte
hamare panw baDhte hain us raste par
jis par chalkar hamari man ne hamein racha tha
so ghaur se dekho, is nannhe farishte ko
nyay aur annyaye ka farq samajhne ke liye
yahan aao
hamari man ke pas
jo abhi gahri neend mein muska rahi hai
aur ga rahi hai
स्रोत :
रचनाकार : प्रभात त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.