बताओ इनमें तुम्हारा घर कौन-सा है
दिन डूबते हुए यह नगर पाया
भटका घूमा गली-गली में
सदन-सदन में पुकारा
उनमें से प्रतिगूँज भी नहीं उठी
सूने-सूने रास्ते, आँखे ठिठकी
बताओ इनमें तुम्हारा घर कौन-सा है?
धुँधली काली भयानक बस्ती
मूक गवाक्षों में दीपक जलते हैं
प्रतीक्षा में हृदय जल रहे हैं
देखो पश्चिम में से घन उठे
बताओ इनमें तुम्हारा घर कौन-सा है?
दिशाएँ मेघों से धारामय हो उठीं
गाँव तूफ़ान से हिला और फूटा
पक्का पेड़ भी राह में उन्मूलित हो गया
बिजली अपने अचल का छोर छुआकर चल दी
बताओ इनमें तुम्हारा घर कौन-सा है?
दीप भी तुमने घर में नही लगाया
फूलों का गजरा भी चिह्न की तरह नहीं रखा
क्यों शून्य में मुझे बुलाया?
लौटते हुए नगर का दरवाज़ा भी बंद हो गया
बताओ इनमें तुम्हारा घर कौन-सा है?
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai
din Dubte hue ye nagar paya
bhatka ghuma gali gali men
sadan sadan mein pukara
unmen se pratigunj bhi nahin uthi
sune sune raste, ankhe thithki
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai?
dhundhli kali bhayanak basti
mook gavakshon mein dipak jalte hain
pratiksha mein hirdai jal rahe hain
dekho pashchim mein se ghan uthe
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai?
dishayen meghon se dharamay ho uthin
gaanv tufan se hila aur phuta
pakka peD bhi raah mein unmulit ho gaya
bijli apne achal ka chhor chhuakar chal di
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai?
deep bhi tumne ghar mein nahi lagaya
phulo ka gajra bhi chihn ki tarah nahin
rakha kyon shunya mein mujhe bulaya
lautte hue nagar ka darvaza bhi bad ho gaya
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai?
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai
din Dubte hue ye nagar paya
bhatka ghuma gali gali men
sadan sadan mein pukara
unmen se pratigunj bhi nahin uthi
sune sune raste, ankhe thithki
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai?
dhundhli kali bhayanak basti
mook gavakshon mein dipak jalte hain
pratiksha mein hirdai jal rahe hain
dekho pashchim mein se ghan uthe
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai?
dishayen meghon se dharamay ho uthin
gaanv tufan se hila aur phuta
pakka peD bhi raah mein unmulit ho gaya
bijli apne achal ka chhor chhuakar chal di
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai?
deep bhi tumne ghar mein nahi lagaya
phulo ka gajra bhi chihn ki tarah nahin
rakha kyon shunya mein mujhe bulaya
lautte hue nagar ka darvaza bhi bad ho gaya
batao inmen tumhara ghar kaun sa hai?
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 571)
रचनाकार : वा. रा. कांत
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.