ये परिस्थितियाँ हीं हैं जो
आदमी के अंदर ढल रही हैं क्रूरता की तरह
कभी विवशता की तरह
एक सामाजिक संरचना हिंसा बनकर उतरती है आदमी में
हम कहते हैं फलाने ने फलाने की हत्या कर दी
हम नहीं कहते क़बीलों में हत्या होती ही है
परायों की
हम उस चीज़ को नहीं देखते जो
लोगों को अपने और पराए में बाँटती है
इंसान विभाजित हो जाता है अपने अंदर ही
हम इस विभाजन को नहीं देखते
हम कहते हैं उसने हत्या की
या उसने आत्महत्या की
आस-पास ही खोज लेते हैं
हम कोई कारण भी
जैसे पुलिस जब चाहती है
सबूत जुटा लेती है
या उन्हें मिटा डालती है।
ye paristhitiyan heen hain jo
adami ke andar Dhal rahin hain krurata ki tarah
kabhi vivashta ki tarah
ek samajik sanrachna hinsa bankar utarti hai adami men
hum kahte hain phalane ne phalane ki hattya kar di
hum nahin kahte kabilon mein hattya hoti hi hai
parayon ki
hum us cheez ko nahin dekhte jo
logon ko apne paraye mein bantti hai
insaan vibhajit ho jata hai apne andar hi
hum is vibhajan ko nahin dekhte
hum kahte hain usne hattya ki ya usne atmahatya ki
aas paas hi khoj lete hain hum koi karan bhi
jaise police jab chahti hai sabut juta leti hai
ya unhen mita Dalti hai.

स्रोत :
रचनाकार : शुभा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.