लोग तो जाने क्या-क्या कहते हैं
कोई कहता है
अगर खट्टे पर मन जाता है तो लड़की होती और मीठे पर जाए तो लड़का
नाभि के नीचे से एक लकीर उभरती है
नकीर काली तो लड़का, कत्थई या मैरून तो लड़की
(यह सुनने के बाद मैंने भी लकीर देखी)
कोई पेट सामने की ओर बढ़े तो लड़का
कहते हैं लड़का सामने की ओर होता है और लड़की बग़ल में
और सुनो मज़े की बात,
लड़के माँ का रूप चुरा लेते हैं इस समय
और लड़कियाँ एकदम से रूप में निखार ला देती हैं
तुम चाहे जो कोई भी हो, जब मेरे पास रूप है ही नहीं तो
क्या तो तुम चुराओगे और क्या ही उसमें निखार लाओगे!
log to jane kya kya kahte hain
koi kahta hai
agar khatte par man jata hai to laDki hoti aur mithe par jaye to laDka
nabhi ke niche se ek lakir ubharti hai
nakir kali to laDka, katthai ya mairun to laDki
(yah sunne ke baad mainne bhi lakir dekhi)
koi pet samne ki or baDhe to laDka
kahte hain laDka samne ki or hota hai aur laDki baghal mein
aur suno maze ki baat,
laDke man ka roop chura lete hain is samay
aur laDkiyan ekdam se roop mein nikhar la deti hain
tum chahe jo koi bhi ho, jab mere pas roop hai hi nahin to
kya to tum churaoge aur kya hi usmen nikhar laoge!

स्रोत :
रचनाकार : नीलेश रघुवंशी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.