पूरी ज़िंदगी लगाकर जिन्होंने
ख़ुद के लिए पिंजरे बनाए हैं
वो भी खुले आसमाँ में उड़ना चाहते हैं
ग़ज़ब कि रूह है उनकी,
जो ख़्वाब आज़ादी के बुनती है
भूलकर इस हक़ीक़त को,
जिस्म कि वो ग़ुलाम है
महकना चाहते हैं
वो गुलाबों की तरह बेशक
काँटों की चुभन से
पर वो बहुत ही बिलबिलाते हैं
मानते हैं जहाँ में वो ख़ुद को सबसे ही सुंदर
आईने से मगर मालिक गहरा परहेज़ रखते हैं
पार किए हैं यूँ तो उन्होंने भी बहुत दरिया
तैरना जानते नहीं सब पुलों का खेल था
उड़ते हैं वो भी आसमाँ में,
यूँ तो पतंगों की तरह
हवा का रुख़ बदलते ही
मगर वो गिर भी जाते हैं
सवाल जानते हैं वो
दुनिया भर के इस तरह
उनका हर जवाब
पलटकर एक सवाल होता है
जवाबों में नहीं रहती
उन्हें कोई भी दिलचस्पी
जिनका हर जवाब
मयख़ाने का एक जाम होता है...!
puri zindagi lagakar jinhonne
khu ke liye pinjre banaye hain
wo bhi khule asman mein uDna chahte hain
ghazab ki rooh hai unki,
jo khwab azadi ke bunti hai
bhulkar is haqiqat ko,
jism ki wo ghulam hai
mahakna chahte hain
wo gulabon ki tarah beshak
kanton ki chubhan se
par wo bahut hi bilbilate hain
mante hain jahan mein wo khu ko sabse hi sundar
aine se magar malik gahra parhez rakhte hain
par kiye hain yoon to unhonne bhi bahut dariya
tairna jante nahin sab pulon ka khel tha
uDte hain wo bhi asman mein,
yoon to patangon ki tarah
hawa ka rukh badalte hi
magar wo gir bhi jate hain
sawal jante hain wo
duniya bhar ke is tarah
unka har jawab
palatkar ek sawal hota hai
jawabon mein nahin rahti
unhen koi bhi dilchaspi
jinka har jawab
maikhane ka ek jam hota hai !
puri zindagi lagakar jinhonne
khu ke liye pinjre banaye hain
wo bhi khule asman mein uDna chahte hain
ghazab ki rooh hai unki,
jo khwab azadi ke bunti hai
bhulkar is haqiqat ko,
jism ki wo ghulam hai
mahakna chahte hain
wo gulabon ki tarah beshak
kanton ki chubhan se
par wo bahut hi bilbilate hain
mante hain jahan mein wo khu ko sabse hi sundar
aine se magar malik gahra parhez rakhte hain
par kiye hain yoon to unhonne bhi bahut dariya
tairna jante nahin sab pulon ka khel tha
uDte hain wo bhi asman mein,
yoon to patangon ki tarah
hawa ka rukh badalte hi
magar wo gir bhi jate hain
sawal jante hain wo
duniya bhar ke is tarah
unka har jawab
palatkar ek sawal hota hai
jawabon mein nahin rahti
unhen koi bhi dilchaspi
jinka har jawab
maikhane ka ek jam hota hai !
स्रोत :
पुस्तक : सोया हुआ शहर (पृष्ठ 30)
रचनाकार : सौरभ सिंह क्रांतिकारी
प्रकाशन : अधिकरण प्रकाशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.