जिन स्त्रियों ने मुझे पाला
वे ख़ूबसूरत नहीं थीं
पर सुंदर थीं
उनके हाथ-पाँवों की खाल
जैसे आँधी, पानी और धूप का प्रहार झेलते
बबूल की छाल
चिड़ियों के घोंसलों से उनके बाल
उनके दाँत
किंचित उजले किंचित ज़र्द
(बीड़ियाँ जो पीती थीं)
उनके लीर-लीर लत्तों पर
ज़माने की धूल और गर्द
फिर भी हँसी
जैसे धरती के कलेजे से लगकर
खिली शंखपुष्पी
वे जब लड़तीं
आँधी में पेड़ हो जातीं
और प्रेम करतीं
तो बारिश में पेड़
हक़ीक़त में अमृत का
अटूट कुंड थीं वे
जो शीत में निवाया रहता
और ग्रीष्म में ठंडा टीप
पर उनके दुख की कथा अलग है
भीतर तक भर जाने पर
वे मुझे मारतीं-पीटतीं गालियाँ देतीं
फिर छाती से चिपटाकर
जोर से डकरातीं
थोड़ी देर को ही सही
पर शिला बर्फ़ की
पिघल-पिघल जाती
ऐसी ही स्त्रियों ने मुझे पाला
जैसे अधर में लटकी
अहर्निश चकरधिन्नी
तदपि सुजलाम सुफलाम पृथ्वी ने
हमें पाला।
jin striyon ne mujhe pala
we khubsurat nahin theen
par sundar theen
unke hath panwon ki khaal
jaise andhi, pani aur dhoop ka prahar jhelte
babul ki chhaal
chiDiyon ke ghonslon se unke baal
unke dant
kinchit ujle kinchit zard
(biDiyan jo piti theen)
unke leer leer latton par
zamane ki dhool aur gard
phir bhi hansi
jaise dharti ke kaleje se lagkar
khili shankhpushpi
we jab laDtin
andhi mein peD ho jatin
aur prem kartin
to barish mein peD
haqiqat mein amrit ka
atut kunD theen we
jo sheet mein niwaya rahta
aur greeshm mein thanDa teep
par unke dukh ki katha alag hai
bhitar tak bhar jane par
we mujhe martin pittin galiyan detin
phir chhati se chiptakar
jor se Dakratin
thoDi der ko hi sahi
par shila barf ki
pighal pighal jati
aisi hi striyon ne mujhe pala
jaise adhar mein latki
aharnish chakardhinni
tadpi sujlam suphlam prithwi ne
hamein pala
jin striyon ne mujhe pala
we khubsurat nahin theen
par sundar theen
unke hath panwon ki khaal
jaise andhi, pani aur dhoop ka prahar jhelte
babul ki chhaal
chiDiyon ke ghonslon se unke baal
unke dant
kinchit ujle kinchit zard
(biDiyan jo piti theen)
unke leer leer latton par
zamane ki dhool aur gard
phir bhi hansi
jaise dharti ke kaleje se lagkar
khili shankhpushpi
we jab laDtin
andhi mein peD ho jatin
aur prem kartin
to barish mein peD
haqiqat mein amrit ka
atut kunD theen we
jo sheet mein niwaya rahta
aur greeshm mein thanDa teep
par unke dukh ki katha alag hai
bhitar tak bhar jane par
we mujhe martin pittin galiyan detin
phir chhati se chiptakar
jor se Dakratin
thoDi der ko hi sahi
par shila barf ki
pighal pighal jati
aisi hi striyon ne mujhe pala
jaise adhar mein latki
aharnish chakardhinni
tadpi sujlam suphlam prithwi ne
hamein pala
स्रोत :
रचनाकार : विनोद पदरज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.