न जाने क्यों झूठ बोलती लड़कियाँ
मुझे अच्छी लगती हैं
झूठ बोलती लड़कियों का झूठ बोलना
न जाने क्यों मुझे अच्छा लगता है
अच्छा लगता है उनका झूठ बोलकर
कुछ पल चुरा लेना सारे दायरों से
इन चुने हुए कुछ पलों में वे
फड़फड़ा आती हैं अपने पंखों को
कुछ देर के लिए खुली हवा में और
सुते हुए नथुनों में भर कर हवा के ताज़े झोंके
वे फिर लौट आती हैं अपने पहले से तय दायरों में
झूठ बोलती लड़कियाँ बोलती हैं छोटे-छोटे झूठ
और अपने जीवन के चुभते-नुकीले सचों को
ताक पर रख देती हैं कुछ देर के लिए
वे छूती हैं झूठ से बनी इस छोटी-सी दुनिया को
अपनी कोमल उँगलियों के कोमल पोरों से और
उसकी सिहरन से भीतर तक झूम जाती हैं
झूठ बोलती लड़कियाँ बोलती हैं झूठ और
उन पलों में अक्सर कहती हैं
दुनिया ख़ूबसूरत है, इसे ऐसा ही होना चाहिए।
na jane kyon jhooth bolti laDkiyan
mujhe achchhi lagti hain
jhooth bolti laDakiyon ka jhooth bolna
na jane kyon mujhe achchha lagta hai
achchha lagta hai unka jhooth bolkar
kuch pal chura lena sare dayron se
in chune hue kuch palon mein we
phaDphaDa aati hain apne pankhon ko
kuch der ke liye khuli hawa mein aur
sute hue nathunon mein bhar kar hawa ke taze jhonke
we phir laut aati hain apne pahle se tay dayron mein
jhooth bolti laDkiyan bolti hain chhote chhote jhooth
aur apne jiwan ke chubhte nukile sachon ko
tak par rakh deti hain kuch der ke liye
we chhuti hain jhooth se bani is chhoti si duniya ko
apni komal ungliyon ke komal poron se aur
uski siharan se bhitar tak jhoom jati hain
jhooth bolti laDkiyan bolti hain jhooth aur
un palon mein aksar kahti hain
duniya khubsurat hai, ise aisa hi hona chahiye

स्रोत :
रचनाकार : ज्योति चावला
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.