प्रिये! उठो यह देखो किसलय रंजित रसाल वृक्षों की
शीतल छायाओं में फैली यौवन-शोभा वसंत की
आओ इसके सुरभिल पथ में घूमें हाथ मिलाकर
भूलें अन्य विचार सभी हम प्रेम गीतियाँ गा गाकर
साँझ-समय घर लौटीं गायें दुहने जब तक समय न हो
तब तक रस्सी-कलश यहीं रख, चलें जहाँ पर निर्जन हो
और वहाँ झूले पर चढ़कर साथ-साथ झूलेंगे हम
लज्जाशीले! बाले! मेरी वांछा यह है प्रियतम
गाने में मन नहीं लगा तो सरिता पथ ही छोड़ चलें
क्योंकि यहाँ पर चलती है नित लहरों की लय में नावें
तरुण चित्त पर करती छाया खेतों की मेंड़ों पर
चुप बैठेंगे वहाँ शाख के पत्तों से देह सटाकर।
priye! utho ye dekho kislay ranjit rasal vrikshon ki
shital chhayaon mein phaili yauvan shobha vasant ki.
aao iske surbhil path mein ghumen haath milakar
bhulen any vichar sabhi hum prem gitiyan ga gakar॥
saanjh samay ghar lautin gayen duhne jab tak samay na ho
tab tak rassi kalash yahin rakh, chalen jahan par nirjan ho
aur vahan jhule par chaDhkar saath saath jhulenge hum
lajjashile! bale! meri vanchha ye hai priytam॥
gane mein man nahin laga to sarita path hi chhoD chalen
kyonki yahan par chalti hai nit lahron ki lai mein naven
tarun chitt par karti chhaya kheton ki menDon par
chup baithenge vahan shakhke patton se deh satakar॥

स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक तेलुगु कविता (प्रथम भाग)
रचनाकार : गुर्रे जाषुबा
प्रकाशन : आंध्र प्रदेश साहित्य अकादमी
संस्करण : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.