जाने पूर्व जन्म में
किस योनि में था धान
ब्रह्माँड के जाने किस काल खंड में
था क्या वह माटी की कल्पना में
बादलों को टोह थी क्या उसकी
हवा के ऊनचासों ग्राम में महकती थी क्या धान की चरी
नदियाँ बहती हुई छूना चाहती थीं क्या उसे
किस गृहिणी ने दिया था वात्सल्य
बीहंन बीज धरते हुए, कोमलता से छूकर
निहारा था क्या उसे भविष्य की सुकामनाओं की तरह
थालियों ने की होगी क्या झन-झन की ध्वनि
सोहर उठा था क्या भात की भाप से
कौर बाँध खिलाती माँ ने जीभर कर देखा था क्या
संतान की तृप्ति को
उसके नेत्रों में सजल नेत्र जोड़
अवाक् का संगीत उतरा था क्या
वाणी के चारों चरणों में
धान आकुल-सा अँखुआ रहा
क्षार मले अपनी देह पर
कोई ग्रामीण मध्यमा में कुशा बाँध
उठा रहा धान की चरी
आर्द्रा ने खोल दिए हैं पट
घटाएँ सजल नयन देख रहीं भूमंडल की ओर
नदियाँ कोर-कछार तोड़ती
दौड़ती पछाड़ती चली आ रहीं
नहीं चीन्हतीं
नहर ग्राम खेत मार्ग भुवन-भवन...
धरती की कोख में ऊष्मित है धान
और अवाक्
वाक् के तीनों चरणों में
मेरे रोमकूपों से फूट रही सहस्रों नदियाँ
स्मृतियों के विशाल भुवन विस्तार पर
सिरज रहीं असंख्य धान्य बीज
धरती के कोशों में संपुट है जो सुगंध
धान की यात्रा का संबोधि है प्रियंक!
jane poorv janm men
kis yoni mein tha dhaan
brahmanD ke jane kis kaal khanD men
tha kya wo mati ki kalpana men
badlon ko toh thi kya uski
hava ke uunchason gram mein mahakti thi kya dhaan ki chari
nadiyan bahti hui chhuna chahti theen kya use
kis grihini ne diya tha vatsalya
bihann beej dharte hue, komalta se chhukar
nihara tha kya use bhavishya ki sukamnaon ki tarah
thaliyon ne ki hogi kya jhanjhan ki dhvani
sohar utha tha kya bhaat ki bhaap se
kaur baandh khilati maan ne jibhar kar dekha tha kya
santan ki tripti ko
uske netron mein sajal netr joD
avak ka sangit utra tha kya
vani ke charon charnon men
dhaan aakul sa ankhua raha
kshaar male apni deh par
koi gramin madhyama mein kusha baandh
utha raha dhaan ki chari
ardra ne khol diye hain pat
ghatayen sajal nayan dekh rahin bhumanDal ki or
nadiyan kor kachhar toDti
dauDti pachhaDti chali aa rahin
nahin chinhtin
nahr gram khet maarg bhuvan bhavan. . .
dharti ki kokh mein uushmit hai dhaan
aur avak
vaak ke tinon charnon mein
mere romkupon se phoot rahi sahasron nadiyan
smritiyon ke vishal bhuvan vistar par
siraj rahin asankhya dhanya beej
dharti ke koshon mein samput hai jo sugandh
dhaan ki yatra ka sambodhi hai priyank!
jane poorv janm men
kis yoni mein tha dhaan
brahmanD ke jane kis kaal khanD men
tha kya wo mati ki kalpana men
badlon ko toh thi kya uski
hava ke uunchason gram mein mahakti thi kya dhaan ki chari
nadiyan bahti hui chhuna chahti theen kya use
kis grihini ne diya tha vatsalya
bihann beej dharte hue, komalta se chhukar
nihara tha kya use bhavishya ki sukamnaon ki tarah
thaliyon ne ki hogi kya jhanjhan ki dhvani
sohar utha tha kya bhaat ki bhaap se
kaur baandh khilati maan ne jibhar kar dekha tha kya
santan ki tripti ko
uske netron mein sajal netr joD
avak ka sangit utra tha kya
vani ke charon charnon men
dhaan aakul sa ankhua raha
kshaar male apni deh par
koi gramin madhyama mein kusha baandh
utha raha dhaan ki chari
ardra ne khol diye hain pat
ghatayen sajal nayan dekh rahin bhumanDal ki or
nadiyan kor kachhar toDti
dauDti pachhaDti chali aa rahin
nahin chinhtin
nahr gram khet maarg bhuvan bhavan. . .
dharti ki kokh mein uushmit hai dhaan
aur avak
vaak ke tinon charnon mein
mere romkupon se phoot rahi sahasron nadiyan
smritiyon ke vishal bhuvan vistar par
siraj rahin asankhya dhanya beej
dharti ke koshon mein samput hai jo sugandh
dhaan ki yatra ka sambodhi hai priyank!
स्रोत :
रचनाकार : चंचला पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.