जब पछिया चलती है
और फिर उसे ठेलकर पुरवाई बहने लगती है
जब खेत फूलों से ढँक जाता है
या उसके चारों तरफ़ हरी चादर तन जाती है
हमें कोई गीत रचना चाहिए
उस मौसम के स्वागत के लिए
हमें कोई गीत गाना चाहिए
होता यह है कि हम तभी गाते हैं
जब हमारा मन करता है
जबकि सबसे अच्छा मौसम का आना होता है
जब मौसम जाता है तब भी
वह जगह को ख़ाली नहीं छोड़ता
अपने बदले
किसी मौसम को यह धरती सौंप कर विदा लेता है हमसे
जैसे जब घटा छाती है
और इस ख़ुशी में पानी की बूँदें उतरने लगती हैं
धरती से एक सौंधी-सी सुगंध का जन्म होता है
या जब धूप नहीं उगती
और वातावरण में कुछ धुआँ-सा जमा रहता है
और तब भी जब धूप तीखी मिर्च में तब्दील होकर आती है
और हठात् ही कभी जीभ को पसीने के स्वाद का अनुभव कराती है
हमें मौसम के लिए गुनगुनाने लगना चाहिए
उसके लिए आभार प्रकट करना चाहिए
कि वह हमें कभी अकेला नहीं छोड़ता।
jab pachhiya chalti hai
aur phir use thelkar purwai bahne lagti hai
jab khet phulon se Dhank jata hai
ya uske charon taraf hari chadar tan jati hai
hamein koi geet rachna chahiye
us mausam ke swagat ke liye
hamein koi geet gana chahiye
hota ye hai ki hum tabhi gate hain
jab hamara man karta hai
jabki sabse achchha mausam ka aana hota hai
jab mausam jata hai tab bhi
wo jagah ko khali nahin chhoDta
apne badle
kisi mausam ko ye dharti saump kar wida leta hai hamse
jaise jab ghata chhati hai
aur is khushi mein pani ki bunden utarne lagti hain
dharti se ek saundhi si sugandh ka janm hota hai
ya jab dhoop nahin ugti
aur watawarn mein kuch dhuan sa jama rahta hai
aur tab bhi jab dhoop tikhi mirch mein tabdil hokar aati hai
aur hathat hi kabhi jeebh ko pasine ke swad ka anubhaw karati hai
hamein mausam ke liye gungunane lagna chahiye
uske liye abhar prakat karna chahiye
ki wo hamein kabhi akela nahin chhoDta

स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश कुमार राय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.