एक अपूर्णता जैसी कोई चीज़
भरी हुई है इस वाक्यांश में
जैसे कि हिला-हिलाकर
भरा जाता है अचार का मर्तबान
और हर कोशिश में निकल ही आती है
थोड़ी-बहुत जगह जहाँ कि सहेजी जा सकती है
आम की एक छरहरी फाँक
एक सुनहरा आधा कटा नींबू
या फिर सलाई की प्रेम भरी नोक से कुरेद कर
पुष्ट कर दिया गया दर्प भरा एक लाल मिर्च।
यह पूर्वकथन है किसी बात के उत्तरार्ध का
जैसे कि कुछ कहने से पहले सोचा हुआ विचार
जैसे कि अभिसार से पहले की उत्कंठा
जैसे कि रुलाई से पहले की हिचकी
जैसे कि हँसी से पहले की चपल स्मितिरेख
एक के बाद एक क्रमवार
असंख्य उदाहरण दिए जा सकते हैं
एक अकेले इस 'जैसे कि' वाक्यांश के संदर्भ में
फिर भी आधी अधूरी या अधकही रह ही सकती है कोई बात।
जैसे कि मैं खोज रहा हूँ उपमाएँ तमाम
जैसे कि और भी दुख हैं ज़माने में मुहब्बत के सिवा
फिर भी कवियों ने लिखना नहीं छोड़ा प्रेम पर
कितने-कितने तीर हुए जिगर के पार
फिर भी बची हुई है ख़लिश की ताब
हर बार लगता है कि प्रेम में आकंठ डूबकर
मैंने जो भी कहे गिनती के दो-चार शब्द या कि वाक्य
वे अधखाए फल थे
किसी और के पोसे तोते के नुकीली चोंच से कुतरे हुए।
लो स्वीकार करो
मैं तुम्हें सौपता हूँ अपना आधा चंद्रमा
अपना आधा सूर्य
अपनी आधी पृथ्वी
और इसी अपूर्ण पृथ्वी पर संपूर्णता की सतत तलाश में
डोलता भटकता रीझता-खीझता एक पूरा जीवन
जैसे कि लिखी जा रही कोई कविता
जैसे कि धुन तैयार करने के लिए प्रतीक्षारत कोई गीत।
ek apurnata jaisi koi cheez
bhari hui hai is wakyansh mein
jaise ki hila hilakar
bhara jata hai achar ka martaban
aur har koshish mein nikal hi aati hai
thoDi bahut jagah jahan ki saheji ja sakti hai
am ki ek chharahri phank
ek sunahra aadha kata nimbu
ya phir salai ki prem bhari nok se kured kar
pusht kar diya gaya darp bhara ek lal mirch
ye purwakthan hai kisi baat ke uttarardh ka
jaise ki kuch kahne se pahle socha hua wichar
jaise ki abhisar se pahle ki utkantha
jaise ki rulai se pahle ki hichki
jaise ki hansi se pahle ki chapal smitirekh
ek ke baad ek kramwar
asankhya udaharn diye ja sakte hain
ek akele is jaise ki wakyansh ke sandarbh mein
phir bhi aadhi adhuri ya adhakhi rah hi sakti hai koi baat
jaise ki main khoj raha hoon upmayen tamam
jaise ki aur bhi dukh hain zamane mein muhabbat ke siwa
phir bhi kawiyon ne likhna nahin chhoDa prem par
kitne kitne teer hue jigar ke par
phir bhi bachi hui hai khalish ki tab
har bar lagta hai ki prem mein akanth Dubkar
mainne jo bhi kahe ginti ke do chaar shabd ya ki waky
we adhkhaye phal the
kisi aur ke pose tote ke nukili chonch se kutre hue
lo swikar karo
main tumhein saupta hoon apna aadha chandrma
apna aadha surya
apni aadhi prithwi
aur isi apurn prithwi par sampurnta ki satat talash mein
Dolta bhatakta rijhta khijhta ek pura jiwan
jaise ki likhi ja rahi koi kawita
jaise ki dhun taiyar karne ke liye pratiksharat koi geet

स्रोत :
रचनाकार : सिद्धेश्वर सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.