अब शाम में अँधेरा घिरते ही
घोड़े की हिनहिनाहट नहीं सुनाई पड़ती
तो बेचैनी में खटिया से उठकर टहलने लगता है बूढ़ा
फिर बीड़ी जलाने से पहले
खाँसता रहता है देर तक
वह बार-बार उधर देखता है
जहाँ बँधा रहता था घोड़ा खूँटे से
अब उस जगह पर दीवार के किनारे पड़ा है—
ताँगे का पुराना पहिया
और पहिए पर मटमैली बोरियाँ
जो रात में ठंड से बचाती थीं घोड़े को
वह उस जगह से थोड़ी दूर पर देखता है
जहाँ काली पड़ गई है जमीन
वहीं पर अलाव लगाती थी बुढ़िया
और बुदबुदाते हुए काली चाय ले आती थी
खजूर के पेड़ के नीचे
अब भी उल्टी पड़ी है टोकरी
जिसमें घास रखकर वह हिनहिनाते घोड़े के पास जाती थी
और उसकी पीठ पर चपत लगाते हुए
देती थी गालियाँ
खटिया पर लेटते हुए सोचता है बूढ़ा
कि पहले कभी इस तरह अँधेरे में
वह नहीं बैठा रहता था चुपचाप
शाम ढलते ही बुढ़िया जला देती थी लालटेन
ab sham mein andhera ghirte hi
ghoDe ki hinhinahat nahin sunai paDti
to bechaini mein khatiya se uthkar tahalne lagta hai buDha
phir biDi jalane se pahle
khansata rahta hai der tak
wo bar bar udhar dekhta hai
jahan bandha rahta tha ghoDa khunte se
ab us jagah par diwar ke kinare paDa hai—
tange ka purana pahiya
aur pahiye par matmaili boriyan
jo raat mein thanD se bachati theen ghoDe ko
wo us jagah se thoDi door par dekhta hai
jahan kali paD gai hai jamin
wahin par alaw lagati thi buDhiya
aur budbudate hue kali chay le aati thi
khajur ke peD ke niche
ab bhi ulti paDi hai tokari
jismen ghas rakhkar wo hinhinate ghoDe ke pas jati thi
aur uski peeth par chapat lagate hue
deti thi galiyan
khatiya par lette hue sochta hai buDha
ki pahle kabhi is tarah andhere mein
wo nahin baitha rahta tha chupchap
sham Dhalte hi buDhiya jala deti thi lalten
ab sham mein andhera ghirte hi
ghoDe ki hinhinahat nahin sunai paDti
to bechaini mein khatiya se uthkar tahalne lagta hai buDha
phir biDi jalane se pahle
khansata rahta hai der tak
wo bar bar udhar dekhta hai
jahan bandha rahta tha ghoDa khunte se
ab us jagah par diwar ke kinare paDa hai—
tange ka purana pahiya
aur pahiye par matmaili boriyan
jo raat mein thanD se bachati theen ghoDe ko
wo us jagah se thoDi door par dekhta hai
jahan kali paD gai hai jamin
wahin par alaw lagati thi buDhiya
aur budbudate hue kali chay le aati thi
khajur ke peD ke niche
ab bhi ulti paDi hai tokari
jismen ghas rakhkar wo hinhinate ghoDe ke pas jati thi
aur uski peeth par chapat lagate hue
deti thi galiyan
khatiya par lette hue sochta hai buDha
ki pahle kabhi is tarah andhere mein
wo nahin baitha rahta tha chupchap
sham Dhalte hi buDhiya jala deti thi lalten
स्रोत :
रचनाकार : गुलज़ार हुसैन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.