इतनी ही हूक उठनी चाहिए
धान देस के मल्हार की छाती में
जब गर्भिणी हवा मंद मंथर उतरती हो
बादल का आलिंगन छोड़
धरती के निकुंजो में सुस्ताने
ऐसे कोमल स्पर्श के उत्ताप
तपते हैं प्राणों के ऊनचासों ग्राम में
ये उमसाई-सी धरती का आवेग
ही तो हिलोर भरता है जलाशयों में
भेंट पुष्पों की देहगंध पर जल
मलती लहरों का परिहास
खोबिआ के फूलों में मीठास भर रहा
हवा के पाँव भारी हैं का संदेश
सुदूर बंग प्राँत की कलाकामिनियों ने भेजे हैं
गंगा सागर की सहस्रों धाराएँ
उनके कंठ के माधुर्य में लिपटी
थीर-थीर बहती हुई आसमुद्रता-आकाश
माँड रही अल्पनाएँ इस शुभ संदेश की
बादलों के मृगछौने मरूथल में भी भर रहे कुलाँचे
गड़गड़ाहट मीठी ऐसी जैसे शिशुगीत
माटी की सोंधी गंध प्रसवोत्तरी हवा की मंगलकामना है प्रियंक!
itni hi hook uthni chahiye
dhaan des ke malhar ki chhati men
jab garbhini hava mand manthar utarti ho
badal ka alingan chhoD
dharti ke nikunjo mein sustane
aise komal sparsh ke uttaap
tapte hain pranon ke uunchason gram men
ye umsai si dharti ka aaveg
hi to hilor bharta hai jalashyon mein
bhent pushpon ki dehgandh par jal
malti lahron ka parihas
khobia ke phulon mein mithas bhar raha
hava ke paanv bhari hain ka sandesh
sudur bang praant ki kalakaminiyon ne bheje hain
ganga sagar ki sahasron dharayen
unke kanth ke madhurya mein lipti
theer theer bahti hui asmudrta akash
maanD rahi alpnayen is shubh sandesh ki
badlon ke mrigchhaune maruthal mein bhi bhar rahe kulanche
gaDgaDahat mithi aisi jaise shishugit
mati ki sondhi gandh prasvottri hava ki mangalkamna hai priyank!
itni hi hook uthni chahiye
dhaan des ke malhar ki chhati men
jab garbhini hava mand manthar utarti ho
badal ka alingan chhoD
dharti ke nikunjo mein sustane
aise komal sparsh ke uttaap
tapte hain pranon ke uunchason gram men
ye umsai si dharti ka aaveg
hi to hilor bharta hai jalashyon mein
bhent pushpon ki dehgandh par jal
malti lahron ka parihas
khobia ke phulon mein mithas bhar raha
hava ke paanv bhari hain ka sandesh
sudur bang praant ki kalakaminiyon ne bheje hain
ganga sagar ki sahasron dharayen
unke kanth ke madhurya mein lipti
theer theer bahti hui asmudrta akash
maanD rahi alpnayen is shubh sandesh ki
badlon ke mrigchhaune maruthal mein bhi bhar rahe kulanche
gaDgaDahat mithi aisi jaise shishugit
mati ki sondhi gandh prasvottri hava ki mangalkamna hai priyank!
स्रोत :
रचनाकार : चंचला पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.