नहीं जानती वह
किसकी चोंच से गिरा था बीज
उड़ते-उड़ते
नहीं पूछा उसने नाम और पता
समेट लिया सहजता से कोख में
यहाँ-वहाँ से पानी आया
धूप… हवा… और सबका गवाह आसमान भी
लहलहाई बेल
इमारत की आड़ में
उगते रहे पौधे-झंखाड़ भी
इर्द-गिर्द
उससे लिपटकर
वह नहीं जानता
कौन-सी है यह शाख
फूल-पत्तों के नाम से भी अज्ञात
खुले में ही पनपी
उन झाड़ियों में
खोजी उसने ओट
पत्तों के भीतर गहरे भीतर जाकर
इत्मीनान से घिसता रहा वह
नन्हे परों को नन्ही-सी चोंच से
वहीं पर कुछ देर फुदक कर देखा
और चहचहाते हुए उड़ गया…
एक पंछी को
पल भर की ओट चाहिए
इसलिए घटित हुआ
इतना सब कुछ?
nahin janti wo
kiski chonch se gira tha beej
uDte uDte
nahin puchha usne naam aur pata
samet liya sahajta se kokh men
yahan vahan se pani aaya
dhoop… hava… aur sabka gavah asman bhi
lahlahai bel
imarat ki aaD men
ugte rahe paudhe jhankhaD bhi
ird gird
usse lipatkar
wo nahin janta
kaun si hai ye shaakh
phool patton ke naam se bhi agyat
khule mein hi panpi
un jhaDiyon men
khoji usne ot
patton ke bhitar gahre bhitar jakar
itminan se ghista raha wo
nanhen paron ko nannhi si chonch se
vahin par kuch der phudak kar dekha
aur chahchahate hue uD gaya…
ek panchhi ko
pal bhar ki ot chahiye
isliye ghatit hua
itna sab kuchh?
nahin janti wo
kiski chonch se gira tha beej
uDte uDte
nahin puchha usne naam aur pata
samet liya sahajta se kokh men
yahan vahan se pani aaya
dhoop… hava… aur sabka gavah asman bhi
lahlahai bel
imarat ki aaD men
ugte rahe paudhe jhankhaD bhi
ird gird
usse lipatkar
wo nahin janta
kaun si hai ye shaakh
phool patton ke naam se bhi agyat
khule mein hi panpi
un jhaDiyon men
khoji usne ot
patton ke bhitar gahre bhitar jakar
itminan se ghista raha wo
nanhen paron ko nannhi si chonch se
vahin par kuch der phudak kar dekha
aur chahchahate hue uD gaya…
ek panchhi ko
pal bhar ki ot chahiye
isliye ghatit hua
itna sab kuchh?
स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : आसावरी काकडे
प्रकाशन : सदानीरा पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.