इतिहास में दर्ज होने की हड़बड़ी
सनक में बदल जाती है
तुग़लक़ को
इतिहास में दर्ज होने की हड़बड़ी ही तो थी
तभी तो उसने कहा
आज से राजधानी
दिल्ली नहीं दौलताबाद होगी
इतिहास में दर्ज होने की हड़बड़ी ने ही
हिटलर से लाखों यहूदियों का क़त्ल करवा दिया
बख़्तियार ख़िलजी ने तो नालंदा विश्वविद्यालय में आग ही लगवा दिया
गोडसे ने महान शख़्सियत गाँधी को मौत के घाट उतार दिया
इतिहास में दर्ज होने की हड़बड़ी में
और भी बहुत से करामात हुए, होते आ रहे हैं
ऐसे शासकों, आक्रांताओं, कट्टरता के पुरोधाओं से
ज़रूरत है सचेत होने की
जो इतिहास में दर्ज होने की हड़बड़ी में
सनक जाते हैं
हर पत्थर पर अपना नाम देख लेना चाहते हैं
हर योजना में शामिल हो जाना चाहते हैं
चाहे वह भले ही जनता की क़ब्रगाह बन रही हो
itihas mein darz hone ki haDbaDi
sanak mein badal jati hai
tuglak ko
itihas mein darz hone ki haDbaDi hi to thi
tabhi to usne kaha
aaj se rajdhani
dilli nahin daultabad hogi
itihas mein darz hone ki haDbaDi ne hi
hitlar se lakhon yahudiyon ka katl karva diya
bakhtiyar khilji ne to nalanda vishvavidyalay mein aag hi lagva diya
goDse ne mahan shakhsiyat gandhi ko maut ke ghaat utaar diya
itihas mein darz hone ki haDbaDi men
aur bhi bahut se karamat hue, hote aa rahen hain
aise shaskon, akrantaon, kattarta ke purodhaon se
zarurat hai sachet hone ki
jo itihas mein darz hone ki haDbaDi men
sanak jate hain
har patthar par apna naam dekh lena chahte hain
har yojna mein shamil ho jana chahte hain
chahe wo bhale hi janta ki qabrgah ban rahi ho

स्रोत :
रचनाकार : धीरेंद्र 'धवल'
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.