इतिहास कह रहा है :
समय उसे बहा ले जाएगा
जो बहते समय की
गति से रहा अपरिचित
एक युग आता है
एक युग जाता है
किंतु काल-रथ की गति
रुकती नहीं कदापि
पुराने पत्ते झड़ते हैं
नए पत्तों की ऋतु आती है
नव्यता की यह गाथा
बहुत ही प्राचीन है
मानवता के शत्रु
मरते हैं अपनी मृत्यु स्वयं
पर मानवता की रहती है
युग-युग तक अमर कहानी
लक्ष-लक्ष अक्षौहिणियों को मारने में समर्थ
स्वयं मर-खप गए
किंतु लोक-जीवन कभी
असमर्थ नहीं होता है
चंगेज़ और हलाकू—
सरीखे सहस्रों जन्मे और
मिट गए, पर मिटा न सके
लोक-जीवन को
एटम के जनक यद्यपि
भूले हैं, मत्त पापाचार में
उनका अस्तित्व मिटा देंगे
उनके ही दुष्कर्म
आकर ही रहेगी मधुऋतु
साम्यवाद की
टिक न सकेगी सदा के लिए
संसार में कानी-वॉट
लोक-लहर बढ़ती है
रोके से कब रुकती है
भला कभी कौन कब रोक सका
बाढ़ का प्रवाह अदम्य
धरती के पुत्रों को
अधिकार करना है नक्षत्रों पर
यह भविष्यवाणी
मुझे सदैव सुनाई देती है
श्रमिक ही इस जीवन का
राजा बनकर रहेगा
अंततोगत्वा, श्रम ही बनके रहेगा
उसकी सुंदर रानी
यह तत्त्व निकाला है मैंने
युग-जीवन से
ज्यों दूध से निकलता है
मंथन के द्वारा नवनीत
श्रम और श्रमिक को है
शतश मेरा प्रणाम
युग-युग के चारण
गाएँगे इनकी गाथा।
itihas kah raha haih
samay use baha le jayega jo
bahte samay ki
gati se raha aprichit
ek yug aata hai.
ek yug jata hai
kintu kaal rath ki gati
rukti nahin kadapi
purane patte jhaDte hain
naye patton ki ritu aati hai
navyta ki ye gatha
bahut hi prachin hain
manavta ke shatru
marte hai apni mirtyu svayan
par manavta ki rahti hai
yug yug tak amar kahani
laksh laksh akshauhiniyon ko marne mein samay
svayan mar khap gaye
kintu lok jivan kabhi
samarth nahin hota hai
chagez aur halaku—
sarikhe sahasro janme aur
mit gaye, par mita na sake
lok jivan ko
atom ke janak yadyapi
bhule hain, matt papachar mein
unka astitv mita denge
unke hi dushkarm
aakar hi rahegi madhurtu
samyavad ki
tik na sakegi sada ke liye
sansar mein kani vaant
lok lahr baDhti hain.
roke se kab rukti hai
bhala kabhi kaun kab rok saka
baaDh ka pravah adamy.
dharti ke putr ko
adhikar karna hai nakshatron par
ye bhavishyavanai
mujhe sadaiv sunai deti hai.
shramik hi is jivan ka
raja bankar rahega
anttogatva, shram hi ban ke rahega
uski sundar rani
ye tattv nikala hai mainne
yug jivan se
jyon doodh se nikalta hai
manthan ke dvara navanit
shram aur shramik ko hai
shatash mera parnam
yug yug ke charan
gaainge inki gatha.
itihas kah raha haih
samay use baha le jayega jo
bahte samay ki
gati se raha aprichit
ek yug aata hai.
ek yug jata hai
kintu kaal rath ki gati
rukti nahin kadapi
purane patte jhaDte hain
naye patton ki ritu aati hai
navyta ki ye gatha
bahut hi prachin hain
manavta ke shatru
marte hai apni mirtyu svayan
par manavta ki rahti hai
yug yug tak amar kahani
laksh laksh akshauhiniyon ko marne mein samay
svayan mar khap gaye
kintu lok jivan kabhi
samarth nahin hota hai
chagez aur halaku—
sarikhe sahasro janme aur
mit gaye, par mita na sake
lok jivan ko
atom ke janak yadyapi
bhule hain, matt papachar mein
unka astitv mita denge
unke hi dushkarm
aakar hi rahegi madhurtu
samyavad ki
tik na sakegi sada ke liye
sansar mein kani vaant
lok lahr baDhti hain.
roke se kab rukti hai
bhala kabhi kaun kab rok saka
baaDh ka pravah adamy.
dharti ke putr ko
adhikar karna hai nakshatron par
ye bhavishyavanai
mujhe sadaiv sunai deti hai.
shramik hi is jivan ka
raja bankar rahega
anttogatva, shram hi ban ke rahega
uski sundar rani
ye tattv nikala hai mainne
yug jivan se
jyon doodh se nikalta hai
manthan ke dvara navanit
shram aur shramik ko hai
shatash mera parnam
yug yug ke charan
gaainge inki gatha.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 433)
रचनाकार : अजायब चित्रकार
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.