हमें अपने इकलौते लड़के के लिए एक ऐसी बहू चाहिए
जो दुनिया की सबसे अच्छी बहू हो और उसे ये बात
कि वह दुनिया की सबसे अच्छी बहू है पता न हो
जिसे बोलना भले ही आता हो मगर हो वह गूँगी
‘न’ इस शब्द को वह पहचानती ही न हो
और ‘हाँ’ उसकी ज़ुबान पर दरवाज़े के बाहर
हाथ बाँधे खड़े नौकर की तरह रहता हो खड़ा
जिसके दोनों पैर तो साबुत हों मगर हो वह लँगड़ी
न वह चलना जानती हो न दौड़ना
नाचना तो उसे बिल्कुल न आता हो
और ग़ुस्से में पैर पटकते तो उसने किसी को देखा ही न हो
जिसके कान भले ही हों मगर उसे सिर्फ़
हमारे घर के लोगों की आवाज़ के
बाहर की कोई आवाज़ सुनाई न दे
आँखें होने पर उनसे दूर तक देखने लायक़ होने के बाद भी
उसकी घर से बाहर देखने की इच्छा ही न हो
जिसके पास डिग्रियाँ तो ख़ूब हों
लेकिन वह पढ़ी-लिखी न हो ज़रा भी
दस्तख़त करने के नाम पर वह आगे कर देती हो
अपने हाथ का स्याही लगा अँगूठा
और अपनी डिग्रियों को महज़ काग़ज़ के टुकड़े मानकर
छोड़ आए पिता के घर अपने
ऐसी कि सब उसे देखते रह जाएँ और हमसे बार-बार कहें
अपने लड़के के लिए क्या बहू ढूँढ़कर लाए हैं आप
लेकिन वह न तो अपनी ख़ूबसूरती बार-बार
आईने में देखती हो और न ही ख़ुद को हमारे घर की
साधारण से चेहरेवाली लड़कियों से अधिक सुंदर मानकर चले
जिसके पिता के घर के लोग
हमारे घर को समय से बढ़कर
और सच से अधिक मानकर चलें
और यह बात बार-बार कहते रहें
आपके घर में अपनी लड़की देकर धन्य हो गए हम
हम तो इस लायक़ थे भी नहीं
जिसे रोना बिल्कुल न आता हो
चीख़ना तो वह जानती ही न हो
और उसकी पीठ ऐसी हो कि उस पर उभरते ही न हों नीले निशान
उसके गालों पर छपती ही न हों उँगलियाँ
और वह पिटते समय बिलखती नहीं, हँसती हो
चेहरे से जिसके पीड़ा झलके नहीं
दु:ख दिखाई न दे जिसकी आँखों में
बातों में जिसकी कष्ट बजें नहीं
जिसे हमें ढूँढ़ने कहीं जाना न पड़े उसका पिता
नाक रगड़ता निहोरे करता हमारे घर आए
और हम उस पर करते हुए एहसान
बहू के रूप में उसकी बेटी को अपने बेटे के लिए रख लें
hamein apne iklaute laDke ke liye ek aisi bahu chahiye
jo duniya ki sabse achchhi bahu ho aur use ye baat
ki wo duniya ki sabse achchhi bahu hai pata na ho
jise bolna bhale hi aata ho magar ho wo gungi
‘n’ is shabd ko wo pahchanti hi na ho
aur ‘han’ uski zuban par darwaze ke bahar
hath bandhe khaDe naukar ki tarah rahta ho khaDa
jiske donon pair to sabut hon magar ho wo langDi
na wo chalna janti ho na dauDna
nachna to use bilkul na aata ho
aur ghusse mein pair patakte to usne kisi ko dekha hi na ho
jiske kan bhale hi hon magar use sirf
hamare ghar ke logon ki awaz ke
bahar ki koi awaz sunai na de
ankhen hone par unse door tak dekhne layaq hone ke baad bhi
uski ghar se bahar dekhne ki ichha hi na ho
jiske pas degreeyan to khoob hon
lekin wo paDhi likhi na ho zara bhi
dastakhat karne ke nam par wo aage kar deti ho
apne hath ka syahi laga angutha
aur apni Digriyon ko mahz kaghaz ke tukDe mankar
chhoD aaye pita ke ghar apne
aisi ki sab use dekhte rah jayen aur hamse bar bar kahen
apne laDke ke liye kya bahu DhunDhakar laye hain aap
lekin wo na to apni khubsurati bar bar
aine mein dekhti ho aur na hi khu ko hamare ghar ki
sadharan se chehrewali laDakiyon se adhik sundar mankar chale
jiske pita ke ghar ke log
hamare ghar ko samay se baDhkar
aur sach se adhik mankar chalen
aur ye baat bar bar kahte rahen
apke ghar mein apni laDki dekar dhany ho gaye hum
hum to is layaq the bhi nahin
jise rona bilkul na aata ho
chikhna to wo janti hi na ho
aur uski peeth aisi ho ki us par ubharte hi na hon nile nishan
uske galon par chhapti hi na hon ungliyan
aur wo pitte samay bilakhti nahin, hansti ho
chehre se jiske piDa jhalke nahin
duhakh dikhai na de jiski ankhon mein
baton mein jiski kasht bajen nahin
jise hamein DhunDhane kahin jana na paDe uska pita
nak ragaDta nihore karta hamare ghar aaye
aur hum us par karte hue ehsan
bahu ke roop mein uski beti ko apne bete ke liye rakh len

स्रोत :
पुस्तक : स्त्री मेरे भीतर (पृष्ठ 95)
रचनाकार : पवन करण
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.