एक पूरी आत्मा के साथ
एक पूरी देह हूँ मैं
जिसे धारण करते हैं ईश्वर कभी-कभी
मैं एक आत्मा
एक देह
एक ईश्वर से अधिक हूँ।
ईश्वर युगों में सुध लेते हैं
इस पृथ्वी की
इस पृथ्वी के किसी भू-भाग पर
जनम लेते, करते हैं लीलाएँ
और अंतर्ध्यान हो जाते हैं
यहाँ अपने रहने की क्षमता से बहुत पहले।
मैं ऐसा नहीं कर पाता हूँ
किसी भी जगह पर जन्म लेकर
पूरे ब्रह्मांड के लिए सोचता हूँ
अपनी क्षमता से अधिक रहने की कोशिश करता हूँ।
ek puri aatma ke sath
ek puri deh hoon main
jise dharan karte hain ishwar kabhi kabhi
main ek aatma
ek deh
ek ishwar se adhik hoon
ishwar yugon mein sudh lete hain
is prithwi ki
is prithwi ke kisi bhu bhag par
janam lete, karte hain lilayen
aur antardhyan ho jate hain
yahan apne rahne ki kshamata se bahut pahle
main aisa nahin kar pata hoon
kisi bhi jagah par janm lekar
pure brahmanD ke liye sochta hoon
apni kshamata se adhik rahne ki koshish karta hoon
ek puri aatma ke sath
ek puri deh hoon main
jise dharan karte hain ishwar kabhi kabhi
main ek aatma
ek deh
ek ishwar se adhik hoon
ishwar yugon mein sudh lete hain
is prithwi ki
is prithwi ke kisi bhu bhag par
janam lete, karte hain lilayen
aur antardhyan ho jate hain
yahan apne rahne ki kshamata se bahut pahle
main aisa nahin kar pata hoon
kisi bhi jagah par janm lekar
pure brahmanD ke liye sochta hoon
apni kshamata se adhik rahne ki koshish karta hoon
स्रोत :
पुस्तक : दसों दिशाओं में (पृष्ठ 41)
रचनाकार : नवल शुक्ल
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.