गौएँ पाई जाती हैं अनेक रंग की
दूध का रंग बना रहता है उजला ही
सजने के गहने रहते कई ढंग के
ढलने वाला सोना होता है एक ही।
मटके, गागर, घड़े, सुराही कई-कई हैं
मगर सभी आकार बने मिट्टी से ही।
होती तो है रंग-बिरंगी न्यारी मुर्गी
किंतु हमें तो अंडा मिलता एक रंग का।
परिमाण नहीं लहराते रहते सागर का
स्वाद समाया लेकिन उसमें एक ही-सा
तादाद नहीं बहती रहती नदियों की
पर संगम उनका एक अकेला सागर ही
अपनाए जाने वाले तो हैं धर्म विविध
किंतु सभी के तत्त्व-सार बस एक ही हैं।
नर-नारी के दो भागों में बँटा है जो
वह जगव्यापी ईश्वर भी तो एक ही है।
जाने-माने गए लोक हैं संख्यातीत
पर लोकों के रक्षक ईश्वर एक ही हैं।
लड़ाई-झगड़े दंगे से हो दूर हम
बिताएँ जीवन इस धरती में एक हो।
gaay pai jati hai anek rang ki
doodh ka rang bana rahta hai ujla hi
sajne ke gahne rahte kai Dhang ke
Dhalne vala sona hota hai ek hi.
matke, gagar, ghaDe, surahi kai kai hai
magar sabhi akar bane mitti se hi.
hoti to hai rang birangi nyari murgi
kintu hamein to anDa milta ek rang ka.
pariman nahin lahrate rahte sagar ka
svaad samaya lekin usmen ek hi sa
tadad nahin bahti rahti nadiyon ki
par sangam unka ek akela sagar hi
apnaye jane vale to hai dharm vividh kintu
sabhi ke tattv saar bus ek hi hai.
nar nari ke do bhagon mein banta hai jo
wo jagavyapi ishvar bhi to ek hi hain.
jane mane gaye lok hain sankhyatin
par lokon ke rakshak ishvar ek hi hai.
laDai jhagDe dage se ho door hum
bitayen jivan is dharti mein ek ho.
gaay pai jati hai anek rang ki
doodh ka rang bana rahta hai ujla hi
sajne ke gahne rahte kai Dhang ke
Dhalne vala sona hota hai ek hi.
matke, gagar, ghaDe, surahi kai kai hai
magar sabhi akar bane mitti se hi.
hoti to hai rang birangi nyari murgi
kintu hamein to anDa milta ek rang ka.
pariman nahin lahrate rahte sagar ka
svaad samaya lekin usmen ek hi sa
tadad nahin bahti rahti nadiyon ki
par sangam unka ek akela sagar hi
apnaye jane vale to hai dharm vividh kintu
sabhi ke tattv saar bus ek hi hai.
nar nari ke do bhagon mein banta hai jo
wo jagavyapi ishvar bhi to ek hi hain.
jane mane gaye lok hain sankhyatin
par lokon ke rakshak ishvar ek hi hai.
laDai jhagDe dage se ho door hum
bitayen jivan is dharti mein ek ho.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 309)
रचनाकार : एस. उमैताणु पिल्लै
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.