थामे हूँ ख़ुद को
ज्यों थामे रखती है बूँद कोई
झूलते पत्ते की नोक पर ख़ुद को
एक दिन कोई उड़ता हुआ पंख आएगा
और मैं बंद आँखों में
आसमान को महसूस करूँगी
एक दुनिया छोड़े बिना
दूजी दुनिया में पग रखती कैसे
अब मैं दुनिया में नहीं
उठते गिरते पाँवों की गति में रहती हूँ
दीवारों पर कान लगा
एक ठंडी ख़ामोशी सुनती हूँ
जो पड़ोस से आती आवाज़ों और
मेरे भीतर के शोर के बीच ठहरी है
सर्दी में गर्म लिहाफ़ की तलाश अब नहीं होती
जहाँ भर से कुछ ऐसा खो गया मेरा
कि हर मौसम
अब उसे ही ढूँढ़ा करेगा दिल
कोई आँसू गिरता है गाल पर
गर्म लावे की तरह
तो मैं भीतर तक ठंडी हो जाती हूँ
इस तरह थामे हूँ ख़ुद को
जैसे टूटी पत्ती
थामे रखती हो कुछ देर
उस पेड़ के नीचे ख़ुद को
जिससे टूटकर गिरी है!
thame hoon khu ko
jyon thame rakhti hai boond koi
jhulte patte ki nok par khu ko
ek din koi uDta hua pankh ayega
aur main band ankhon mein
asman ko mahsus karungi
ek duniya chhoDe bina
duji duniya mein pag rakhti kaise
ab main duniya mein nahin
uthte girte panwon ki gati mein rahti hoon
diwaron par kan laga
ek thanDi khamoshi sunti hoon
jo paDos se aati awazon aur
mere bhitar ke shor ke beech thahri hai
sardi mein garm lihaf ki talash ab nahin hoti
jahan bhar se kuch aisa kho gaya mera
ki har mausam
ab use hi DhunDha karega dil
koi ansu girta hai gal par
garm lawe ki tarah
to main bhitar tak thanDi ho jati hoon
is tarah thame hoon khu ko
jaise tuti patti
thame rakhti ho kuch der
us peD ke niche khu ko
jisse tutkar giri hai!
thame hoon khu ko
jyon thame rakhti hai boond koi
jhulte patte ki nok par khu ko
ek din koi uDta hua pankh ayega
aur main band ankhon mein
asman ko mahsus karungi
ek duniya chhoDe bina
duji duniya mein pag rakhti kaise
ab main duniya mein nahin
uthte girte panwon ki gati mein rahti hoon
diwaron par kan laga
ek thanDi khamoshi sunti hoon
jo paDos se aati awazon aur
mere bhitar ke shor ke beech thahri hai
sardi mein garm lihaf ki talash ab nahin hoti
jahan bhar se kuch aisa kho gaya mera
ki har mausam
ab use hi DhunDha karega dil
koi ansu girta hai gal par
garm lawe ki tarah
to main bhitar tak thanDi ho jati hoon
is tarah thame hoon khu ko
jaise tuti patti
thame rakhti ho kuch der
us peD ke niche khu ko
jisse tutkar giri hai!
स्रोत :
रचनाकार : ममता बारहठ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.