कौवों ने सारा
तंदुल चुग लिया है
मटके के तली तक का पानी
हथिया लिया है पत्थरबाज़ी करके!
चिड़ियों ने निराशा में
घोंसलों से निकलना छोड़ दिया है
खोहों के मुँहाने पर
तिनके की ओट डाल पर्दादारी की प्रथा
ज़ोर पकड़ रही है!
आकाश को चीलों का बताया जा रहा है
और उनके लिए नियत है उतना ही आकाश
जितना दो पत्तियों के बीच
दरख़्त की एक शाख़ से दिखता है!
नई बात यह है कि
काँव-काँव को
जंगल ने अपना राष्ट्रीय गीत मान लिया है
कोयल की कूक को माना गया है
एक डायन की आवाज़!
और अब दरख़्तों की कहानी सुनिए
एक गौरैया की गर्दन
अपनी ही शाख़ की
एक धारदार पत्ती ने रेत दी है!
kauwon ne sara
tandul chug liya hai
matke ke tali tak ka pani
hathiya liya hai pattharbazi karke!
chiDiyon ne nirasha mein
ghonslon se nikalna chhoD diya hai
khohon ke munhane par
tinke ki ot Dal pardadari ki pratha
zor pakaD rahi hai!
akash ko chilon ka bataya ja raha hai
aur unke liye niyat hai utna hi akash
jitna do pattiyon ke beech
darakht ki ek shakh se dikhta hai!
nai baat ye hai ki
kanw kanw ko
jangal ne apna rashtriya geet man liya hai
koel ki kook ko mana gaya hai
ek Dayan ki awaz!
aur ab darakhton ki kahani suniye
ek gauraiya ki gardan
apni hi shakh ki
ek dharadar patti ne ret di hai!
kauwon ne sara
tandul chug liya hai
matke ke tali tak ka pani
hathiya liya hai pattharbazi karke!
chiDiyon ne nirasha mein
ghonslon se nikalna chhoD diya hai
khohon ke munhane par
tinke ki ot Dal pardadari ki pratha
zor pakaD rahi hai!
akash ko chilon ka bataya ja raha hai
aur unke liye niyat hai utna hi akash
jitna do pattiyon ke beech
darakht ki ek shakh se dikhta hai!
nai baat ye hai ki
kanw kanw ko
jangal ne apna rashtriya geet man liya hai
koel ki kook ko mana gaya hai
ek Dayan ki awaz!
aur ab darakhton ki kahani suniye
ek gauraiya ki gardan
apni hi shakh ki
ek dharadar patti ne ret di hai!
स्रोत :
रचनाकार : अखिलेश श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.