तुम्हें हाँक लगाकर
मैं वापस बैठ गया।
मुझे विश्वास था कि
तुम अभी आ जाओगी
और अपनी हथेली मेरी हथेली में दे दोगी
मेरी पथराई देह पर अभी खिलता होगा तुम्हारा मंदिर स्पर्श!
इस बुझते समय में और क्या चाहिए था अधिक मुझको
एक तुम्हारे सामीप्य की चाह
फिर चाहे तो टूट जाए श्वासों की माला;
दृष्टि उठा, नयन भर देख तो सकूँ तुम्हें
बस इतनी दे दे ईश्वर नेत्रों को ज्योति और ज्योति को जल।
जाने कितनी अनगिन रात्रियों को जागकर काटते हुए
पृथ्वी की प्रतीक्षा भर चुकी है देह में।
हँसिये के आकार का यह गलता हुआ चंद्रमा
और जलते हुए नक्षत्र
मुँह चिढ़ाते हैं मुझ अनिद्र को
फिर भी जाने क्या
आस-सी जगती है इस मेघाच्छन्न निर्गंध रात्रि में;
सब सो जाते हैं, मैं जागता हूँ।
ऐसे अपरूप समय में मेरी आहट सुन
बोलो, क्या खटकती है तुम्हारे द्वार की साँकल?
tumhein hank lagakar
main wapas baith gaya
mujhe wishwas tha ki
tum abhi aa jaogi
aur apni hatheli meri hatheli mein de dogi
meri pathrai deh par abhi khilta hoga tumhara mandir sparsh!
is bujhte samay mein aur kya chahiye tha adhik mujhko
ek tumhare samipy ki chah
phir chahe to toot jaye shwason ki mala;
drishti utha, nayan bhar dekh to sakun tumhein
bus itni de de ishwar netron ko jyoti aur jyoti ko jal
jane kitni angin ratriyon ko jagkar katte hue
prithwi ki pratiksha bhar chuki hai deh mein
hansiye ke akar ka ye galta hua chandrma
aur jalte hue nakshatr
munh chiDhate hain mujh anidr ko
phir bhi jane kya
as si jagti hai is meghachchhann nirgandh ratri mein;
sab so jate hain, main jagata hoon
aise aprup samay mein meri aahat sun
bolo, kya khatakti hai tumhare dwar ki sankal?

स्रोत :
रचनाकार : योगेंद्र गौतम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.