भेड़िए
अब धम्मम् शरणम् गच्छामि का
जाप करते हुए
नगर के प्रवेशद्वार तक आ पहुँचे हैं
अनुरोध के अनुसार
पहला समागम
मेमनों के मोहल्ले में ही होगा
—अरे नहीं! डर कैसा?
देखते नहीं उनका पवित्र पीतांबर शुभ्र यज्ञोपवीत
हवा की बेलौस चाल में
पताका-सी फहराती रामनामी
अमन का राग गाती स्निग्ध वाणी
कैसा दिव्य आलोक है
मुखमंडल पर
ओह! कैसा तेजोमय रूप है
धन्यभाग! धन्यभाग!
आचार्य श्री के
दिवराला-समागम में दिए गए
प्रवचन का ही तो पुण्य-प्रताप है
कि दिल्ली से दमिश्क तक
दिवराला विख्यात है
यहाँ भी महिलाओं हेतु
पृथक व्यवस्था है
आचार्य जी को भान है कि
भारत एक ग़रीब मुल्क है
अत: घृत व समिधा की व्यवस्था
“पहले आओ-पहले पाओ”
के आधार पर नि:शुल्क है
पूज्यपाद का उद्घोष है कि वे
विशुद्ध आदिम धर्म को आस्था का केंद्र बनाएँगे
सम्राट की ओर से सूचना—
इक्कीसवीं सदी के रथारोही अब वाया दिवराला जाएँगे।
bheDiye
ab dhammam sharnam gachchhami
ka jaap karte hue
nagar ke praveshadvar tak aa pahunche hain
anurodh ke anusar
pahla samagam
memnon ke mohalle mein hi hoga
—are nahin! Dar kaisa?
dekhte nahin unka pavitra pitambar shubhr yagyopvit
hava ki belaus chaal men
pataka si phahrati ramanami
aman ka raag gati snigdh vani
kaisa divya aalok hai
mukhmanDal par
oh! kaisa tejomay roop hai
dhanybhag! dhanybhag!
acharya shri ke
divrala samagam mein diye ge
pravchan ka hi to punya pratap hai
ki dilli se damishk tak
divrala vikhyat hai
yahan bhi mahilaon hetu
prithak vyavastha hai
acharya ji ko bhaan hai ki
bharat ek gharib mulk hai
atah ghrit va samidha ki vyavastha
“pahle aao pahle pao”
ke adhar par nihshulk hai
pujyapad ka udghosh hai ki ve
vishuddh aadim dharm ko astha ka kendr banayenge
samrat ki or se suchana—
ikkisvin sadi ke ratharohi ab vaya divrala jayenge.
bheDiye
ab dhammam sharnam gachchhami
ka jaap karte hue
nagar ke praveshadvar tak aa pahunche hain
anurodh ke anusar
pahla samagam
memnon ke mohalle mein hi hoga
—are nahin! Dar kaisa?
dekhte nahin unka pavitra pitambar shubhr yagyopvit
hava ki belaus chaal men
pataka si phahrati ramanami
aman ka raag gati snigdh vani
kaisa divya aalok hai
mukhmanDal par
oh! kaisa tejomay roop hai
dhanybhag! dhanybhag!
acharya shri ke
divrala samagam mein diye ge
pravchan ka hi to punya pratap hai
ki dilli se damishk tak
divrala vikhyat hai
yahan bhi mahilaon hetu
prithak vyavastha hai
acharya ji ko bhaan hai ki
bharat ek gharib mulk hai
atah ghrit va samidha ki vyavastha
“pahle aao pahle pao”
ke adhar par nihshulk hai
pujyapad ka udghosh hai ki ve
vishuddh aadim dharm ko astha ka kendr banayenge
samrat ki or se suchana—
ikkisvin sadi ke ratharohi ab vaya divrala jayenge.
स्रोत :
पुस्तक : दृष्टि-छाया प्रदेश का कवि (पृष्ठ 13)
रचनाकार : प्रियंकर पालीवाल
प्रकाशन : प्रतिश्रुति प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.