इस लोटे का भी एक सपना है
कभी-कभी दिन में फ़ुरसत के वक़्त
जो इसे देखने को मिल जाता है
रात को इसे नींद नहीं आती
अजीब तरह के खाने की गंध और न कही गई
बातों का स्वाद लिए नक़ली दाँतों का एक सेट
नल के ठंडे पानी में इसमें डूबा रहता है
तड़के सुबह का वक़्त इसे पसंद है
कुछ ज़रूरी यादें, पेड़, जंगल, गन्ने के खेत
दिमाग़ में घूम जाते हैं
इन दिनों तो आँगन के एक कोने में पड़ा
या महाराजिन का इंतज़ार करता है
यह भी कोई सपने का वक़्त है
पर लोटा कमबख़्त एक सपना देखता है
कि उसे ख़ूब चमकाया जाए
थोड़ा वक़्त उसे भी दिया जाए
गिरने पर उसकी जो यह आवाज़ है
कई जगहों से जो वह पिचक गया है
उससे मुँह न बिचकाया जाए
पर लोटा तो आख़िर लोटा है
एक दिन अपने कुछ इस तरह से गिरने के इंतज़ार में है
कि एक अच्छी आवाज़ हो
अम्मा जी गुड़ की गरम चाय उसमें
बेरहमी से उड़ेल न दें
उसका भी एक सपना हो
न हो सपना
एक पूरी नींद तो हो।
is lote ka bhi ek sapna hai
kabhi kabhi din mein fursat ke waqt
jo ise dekhne ko mil jata hai
raat ko ise neend nahin aati
ajib tarah ke khane ki gandh aur na kahi gai
baton ka swad liye naqli danton ka ek set
nal ke thanDe pani mein ismen Duba rahta hai
taDke subah ka waqt ise pasand hai
kuch zaruri yaden, peD, jangal, ganne ke khet
dimagh mein ghoom jate hain
in dinon to angan ke ek kone mein paDa
ya maharajin ka intzar karta hai
ye bhi koi sapne ka waqt hai
par lota kambakht ek sapna dekhta hai
ki use khoob chamkaya jaye
thoDa waqt use bhi diya jaye
girne par uski jo ye awaz hai
kai jaghon se jo wo pichak gaya hai
usse munh na bichkaya jaye
par lota to akhir lota hai
ek din apne kuch is tarah se girne ke intzar mein hai
ki ek achchhi awaz ho
amma ji guD ki garam chay usmen
berahmi se uDel na den
uska bhi ek sapna ho
na ho sapna
ek puri neend to ho
is lote ka bhi ek sapna hai
kabhi kabhi din mein fursat ke waqt
jo ise dekhne ko mil jata hai
raat ko ise neend nahin aati
ajib tarah ke khane ki gandh aur na kahi gai
baton ka swad liye naqli danton ka ek set
nal ke thanDe pani mein ismen Duba rahta hai
taDke subah ka waqt ise pasand hai
kuch zaruri yaden, peD, jangal, ganne ke khet
dimagh mein ghoom jate hain
in dinon to angan ke ek kone mein paDa
ya maharajin ka intzar karta hai
ye bhi koi sapne ka waqt hai
par lota kambakht ek sapna dekhta hai
ki use khoob chamkaya jaye
thoDa waqt use bhi diya jaye
girne par uski jo ye awaz hai
kai jaghon se jo wo pichak gaya hai
usse munh na bichkaya jaye
par lota to akhir lota hai
ek din apne kuch is tarah se girne ke intzar mein hai
ki ek achchhi awaz ho
amma ji guD ki garam chay usmen
berahmi se uDel na den
uska bhi ek sapna ho
na ho sapna
ek puri neend to ho
स्रोत :
रचनाकार : विनोद भारद्वाज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.