लड़की ने फूल चुने
बाग़ का सोया दिल
बाग़-बाग़ हो गया
सुबह से शाम तक
गंध उड़ती रही
धूसर आकाश में
घुटे हुए स्वप्न को
जैसे कोई हिलोर
मिल गई हो
हवा में
उड़ता हुआ अपने कथा-विस्मय के
आत्ममुग्ध झंकृत संगीत में
अंचल से अंचल तक
उलट-पुलट झाँकता रहा
जड़ित
स्पंदनरहित कुछ
स्वप्नों के बाहर
एक नीली हरी झील थी
आग में लिपटी हुई
कोठरी में का दिया उसे जानता नहीं था
कमल उसके बेतहाशा जल उठे थे
पहाड़ों के आँखों में
श्वेत ही श्वेत था
स्याह पुतलियों की इंतज़ार में
मैली राख होता हुआ
लड़की का जिस्म
ख़ून से तर-ब-तर
झील के पानी की सतह पर आया
तो बार-बार दोहराई गई वारदात को
वहीं डूब मरने का इंतज़ार था
केसर की पत्तियाँ कफ़न की भूमिका में आ चुकी थीं
कोई इतिहास था पाप के पंक में लिपटा हुआ
इब्न-ए-शरीफ़ हो चुका था...
laDki ne phool chune
bagh ka soya dil
bagh bagh ho gaya
subah se sham tak
gandh uDti rahi
dhusar akash mein
ghute hue swapn ko
jaise koi hilor
mil gai ho
hawa mein
uDta hua apne katha wismay ke
atmamugdh jhankrit sangit mein
anchal se anchal tak
ulat pulat jhankta raha
jaDit
spandanarhit kuch
swapnon ke bahar
ek nili hari jheel thi
ag mein lipti hui
kothari mein ka diya use janta nahin tha
kamal uske betahasha jal uthe the
pahaDon ke ankhon mein
shwet hi shwet tha
syah putaliyon ki intzar mein
maili rakh hota hua
laDki ka jism
khoon se tar ba tar
jheel ke pani ki satah par aaya
to bar bar dohrai gai wardat ko
wahin Doob marne ka intzar tha
kesar ki pattiyan kafan ki bhumika mein aa chuki theen
koi itihas tha pap ke pank mein lipta hua
ibn e sharif ho chuka tha
laDki ne phool chune
bagh ka soya dil
bagh bagh ho gaya
subah se sham tak
gandh uDti rahi
dhusar akash mein
ghute hue swapn ko
jaise koi hilor
mil gai ho
hawa mein
uDta hua apne katha wismay ke
atmamugdh jhankrit sangit mein
anchal se anchal tak
ulat pulat jhankta raha
jaDit
spandanarhit kuch
swapnon ke bahar
ek nili hari jheel thi
ag mein lipti hui
kothari mein ka diya use janta nahin tha
kamal uske betahasha jal uthe the
pahaDon ke ankhon mein
shwet hi shwet tha
syah putaliyon ki intzar mein
maili rakh hota hua
laDki ka jism
khoon se tar ba tar
jheel ke pani ki satah par aaya
to bar bar dohrai gai wardat ko
wahin Doob marne ka intzar tha
kesar ki pattiyan kafan ki bhumika mein aa chuki theen
koi itihas tha pap ke pank mein lipta hua
ibn e sharif ho chuka tha
स्रोत :
रचनाकार : अतुलवीर अरोड़ा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.