उसकी डुबकियाँ कहाँ-कहाँ तक थीं
उसकी उड़ानें कहाँ-कहाँ तक थीं
उसकी पकड़ कहाँ-कहाँ तक थी
उसकी समझ कहाँ-कहाँ तक थी
उसे पकड़ा कहाँ-कहाँ तक गया
उसे समझा कहाँ-कहाँ तक गया
जहाँ-जहाँ उसे हाँफना चाहिए था
ठीक वहाँ उसकी कहन में ताक़त आ रही थी
बड़बड़ाता था जहाँ-जहाँ
लगता था कि बौखलाहट में अब टूट जाएगा
रो लेना चाहता था जहाँ-जहाँ
ठीक वहीं उसमें से उल्लास फूट रहा था
जहाँ-जहाँ वह हारा हुआ दिखता था
वहीं वह तैयार हो रहा था
पस्त लगता था शर्मिंदा हो रहा था
उसकी सारी हेकड़ी निकलती दिखती थी जहाँ-जहाँ
ठीक वहीं
ठीक वहीं वह ज़िंदा हो रहा था
कोई समझ भी लेता तो क्या समझ लेता
कोई पकड़ भी लेता तो क्या पकड़ लेता
कि उसकी डुबकियाँ कहाँ-कहाँ तक थीं
उसकी उड़ानें कहाँ-कहाँ तक थीं
uski Dubkiyan kahan kahan tak theen
uski uDanen kahan kahan tak theen
uski pakaD kahan kahan tak thi
uski samajh kahan kahan tak thi
use pakDa kahan kahan tak gaya
use samjha kahan kahan tak gaya
jahan jahan use hanphna chahiye tha
theek wahan uski kahan mein taqat aa rahi thi
baDbaData tha jahan jahan
lagta tha ki baukhalahat mein ab toot jayega
ro lena chahta tha jahan jahan
theek wahin usmen se ullas phoot raha tha
jahan jahan wo hara hua dikhta tha
wahin wo taiyar ho raha tha
past lagta tha sharminda ho raha tha
uski sari hekDi nikalti dikhti thi jahan jahan
theek wahin
theek wahin wo zinda ho raha tha
koi samajh bhi leta to kya samajh leta
koi pakaD bhi leta to kya pakaD leta
ki uski Dubkiyan kahan kahan tak theen
uski uDanen kahan kahan tak theen
uski Dubkiyan kahan kahan tak theen
uski uDanen kahan kahan tak theen
uski pakaD kahan kahan tak thi
uski samajh kahan kahan tak thi
use pakDa kahan kahan tak gaya
use samjha kahan kahan tak gaya
jahan jahan use hanphna chahiye tha
theek wahan uski kahan mein taqat aa rahi thi
baDbaData tha jahan jahan
lagta tha ki baukhalahat mein ab toot jayega
ro lena chahta tha jahan jahan
theek wahin usmen se ullas phoot raha tha
jahan jahan wo hara hua dikhta tha
wahin wo taiyar ho raha tha
past lagta tha sharminda ho raha tha
uski sari hekDi nikalti dikhti thi jahan jahan
theek wahin
theek wahin wo zinda ho raha tha
koi samajh bhi leta to kya samajh leta
koi pakaD bhi leta to kya pakaD leta
ki uski Dubkiyan kahan kahan tak theen
uski uDanen kahan kahan tak theen
स्रोत :
रचनाकार : अजेय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.