हाँ मैं वही गाछ हूँ
पंचकठिया-बरहेट के क्रांति स्थल का।
वक़्त की अदालत में खड़ा,
एक जीवित गवाह
जो पहचानता है
हूल के हत्यारों के चेहरे।
मैं छूता हूँ अपने कंधे के दाग़
उस रस्सी की रगड़ से उभरे
जिसके फंदे से
लटका दिया गया था
सन् 1855 का प्रतिरोध
झूल गई थी जिस पर
संताल हूल के अगुआ सिदो की
शोषण के ख़िलाफ़ युद्धरत आत्मा।
उसकी देह से अंतिम बार निकली
पसीने की गंध
कुचले हूल की सिर उठाती गंध बन
बह रही जंगल की शिराओं में
पारे की तरह आज भी।
उसके छटपटाते पैर के अँगूठे
टकराए थे मेरे सीने से,
ठीक वहीं जहाँ मेरा कलेजा धड़कता है।
वहीं से आज भी रिसता है ख़ून
हूल-हूल पुकारता हुआ।
उस पुकार पर
जंगलों के सीने में धँसी
स्मृतियों की छुरियों की धार
व्याकुल हो उठती है,
काट डालने को सारी बाँबियाँ
निहत्थों की देह
चाट जाने वाले दीमकों की
और मचलती हैं तोड़ डालने को
हत्यारों की उम्र पर
चढ़ाए गए सारे कवच।
हाँ, मेरी ही बूढ़ी बाँहें
जिस पर झूलकर
जवान होती थीं पीढ़ियाँ
मेरी बाँहों का लेकर सहारा
वीर सपूतों को साज़िशों ने
मौत के घाट है उतारा।
मैं खड़ा हूँ ठीक वहीं आज भी
दफ़ना दिए गए
वक़्त की क़ब्र पर
एक जीवित सबूत बनकर,
एक लौ बन सच्चाई की
जो जगाए रखता है
इतिहास को नींद में भी।
वक़्त की अदालत पूछती है मुझसे
हूल के हत्यारों के चेहरे कैसे थे?
तब मैं चीख़कर कहता हूँ
हर काल में हैं
उनके चेहरे कुछ एक से...
निर्दयता की पराकाष्ठा से रंजित माथे
हवस की सीमाएँ लाँघती हुईं आँखें
जीवन रस चूसने वाली नरभक्षी उँगलियाँ,
पृथ्वी की पोटली काँख में छिपाकर
“और...और...” की तलाश में भटकती
ब्रह्मांड की सबसे भूखी आकृतियाँ...
यह सुनते ही अदालत
उठ खड़ी होती है
और स्वयं को स्थगित कर
बढ़ जाती है न जाने
किस अनिश्चतकाल की ओर...
han main wahi gachh hoon
panchakathiya barhet ke kranti sthal ka
waqt ki adalat mein khaDa,
ek jiwit gawah
jo pahchanta hai
hool ke hatyaron ke chehre
main chhuta hoon apne kandhe ke dagh
us rassi ki ragaD se ubhre
jiske phande se
latka diya gaya tha
san 1855 ka pratirodh
jhool gai thi jis par
santal hool ke agua sido ki
shoshan ke khilaf yuddharat aatma
uski deh se antim bar nikli
pasine ki gandh
kuchle hool ki sir uthati gandh ban
bah rahi jangal ki shiraon mein
pare ki tarah aaj bhi
uske chhataptate pair ke anguthe
takraye the mere sine se,
theek wahin jahan mera kaleja dhaDakta hai
wahin se aaj bhi rista hai khoon
hool hool pukarta hua
us pukar par
janglon ke sine mein dhansi
smritiyon ki chhuriyon ki dhaar
wyakul ho uthti hai,
kat Dalne ko sari banbiyan
nihatthon ki deh
chat jane wale dimkon ki
aur machalti hain toD Dalne ko
hatyaron ki umr par
chaDhaye gaye sare kawach
han, meri hi buDhi banhen
jis par jhulkar
jawan hoti theen piDhiyan
meri banhon ka lekar sahara
weer saputon ko sazishon ne
maut ke ghat hai utara
main khaDa hoon theek wahin aaj bhi
dafna diye gaye
waqt ki qabr par
ek jiwit sabut bankar,
ek lau ban sachchai ki
jo jagaye rakhta hai
itihas ko neend mein bhi
waqt ki adalat puchhti hai mujhse
hool ke hatyaron ke chehre kaise the?
tab main chikhkar kahta hoon
har kal mein hain
unke chehre kuch ek se
nirdayta ki parakashtha se ranjit mathe
hawas ki simayen langhati huin ankhen
jiwan ras chusne wali narbhakshai ungliyan,
prithwi ki potli kankh mein chhipakar
“aur aur ” ki talash mein bhatakti
brahmanD ki sabse bhukhi akritiyan
ye sunte hi adalat
uth khaDi hoti hai
aur swayan ko sthagit kar
baDh jati hai na jane
kis anishchatkal ki or
han main wahi gachh hoon
panchakathiya barhet ke kranti sthal ka
waqt ki adalat mein khaDa,
ek jiwit gawah
jo pahchanta hai
hool ke hatyaron ke chehre
main chhuta hoon apne kandhe ke dagh
us rassi ki ragaD se ubhre
jiske phande se
latka diya gaya tha
san 1855 ka pratirodh
jhool gai thi jis par
santal hool ke agua sido ki
shoshan ke khilaf yuddharat aatma
uski deh se antim bar nikli
pasine ki gandh
kuchle hool ki sir uthati gandh ban
bah rahi jangal ki shiraon mein
pare ki tarah aaj bhi
uske chhataptate pair ke anguthe
takraye the mere sine se,
theek wahin jahan mera kaleja dhaDakta hai
wahin se aaj bhi rista hai khoon
hool hool pukarta hua
us pukar par
janglon ke sine mein dhansi
smritiyon ki chhuriyon ki dhaar
wyakul ho uthti hai,
kat Dalne ko sari banbiyan
nihatthon ki deh
chat jane wale dimkon ki
aur machalti hain toD Dalne ko
hatyaron ki umr par
chaDhaye gaye sare kawach
han, meri hi buDhi banhen
jis par jhulkar
jawan hoti theen piDhiyan
meri banhon ka lekar sahara
weer saputon ko sazishon ne
maut ke ghat hai utara
main khaDa hoon theek wahin aaj bhi
dafna diye gaye
waqt ki qabr par
ek jiwit sabut bankar,
ek lau ban sachchai ki
jo jagaye rakhta hai
itihas ko neend mein bhi
waqt ki adalat puchhti hai mujhse
hool ke hatyaron ke chehre kaise the?
tab main chikhkar kahta hoon
har kal mein hain
unke chehre kuch ek se
nirdayta ki parakashtha se ranjit mathe
hawas ki simayen langhati huin ankhen
jiwan ras chusne wali narbhakshai ungliyan,
prithwi ki potli kankh mein chhipakar
“aur aur ” ki talash mein bhatakti
brahmanD ki sabse bhukhi akritiyan
ye sunte hi adalat
uth khaDi hoti hai
aur swayan ko sthagit kar
baDh jati hai na jane
kis anishchatkal ki or
स्रोत :
रचनाकार : जसिंता केरकेट्टा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.