चुपचाप!
अकेले अकेले बात करती दो वस्तुओं के बीच
बातों का कोई अंत नहीं
मौन को सुन लिए जाने के अलावा भी उसमें कुछ हो सकता है
देखने को संसार में दृश्यों के अलावा भी कुछ हो सकता है
कुछ भी हो सकता है
दुनिया का सबसे निर्दयी हत्यारा मेरा पता जान चुका है
वह जैसे संसार के उस कोने से मेरी हत्या करता हुआ चला आ रहा है
उसके साथ उसका साथ भी हो सकता है
जो लोग जान चुके हैं कि उन्हें कुछ पता नहीं
तो उनके साथ अब कभी भी कुछ भी हो सकता है
एक जगह देर तक छूने में ‘वहाँ’ छुअन नहीं रहती
बाक़ी कहीं कुछ भी हो सकता है
होता सब है, कभी न कभी
अचानक, लेकिन पंक्तिबद्ध
जानवर कहीं भी जा सकते हैं लेकिन जंगल में
कोई कुछ भी कह सकता है लेकिन बातों में
यह सच है कि हर आकार को तोड़ा जा सकता है
अर्थ को उसके पीछे की ओर मोड़ा जा सकता है
और प्रश्न में जोड़ा जा सकता है
कुछ नहीं में भी थोड़ा आ सकता है
जितना दूर उतना भीतर की ओर
जितना गहरा उतना सतही
बाक़ी सिर्फ़ बीच है जो कहीं भी हो सकता है
chupchap!
akele akele baat karti do wastuon ke beech
baton ka koi ant nahin
maun ko sun liye jane ke alawa bhi usmen kuch ho sakta hai
dekhne ko sansar mein drishyon ke alawa bhi kuch ho sakta hai
kuch bhi ho sakta hai
duniya ka sabse nirdayi hatyara mera pata jaan chuka hai
wo jaise sansar ke us kone se meri hattya karta hua chala aa raha hai
uske sath uska sath bhi ho sakta hai
jo log jaan chuke hain ki unhen kuch pata nahin
to unke sath ab kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai
ek jagah der tak chhune mein ‘wahan’ chhuan nahin rahti
baqi kahin kuch bhi ho sakta hai
hota sab hai, kabhi na kabhi
achanak, lekin panktibaddh
janwar kahin bhi ja sakte hain lekin jangal mein
koi kuch bhi kah sakta hai lekin baton mein
ye sach hai ki har akar ko toDa ja sakta hai
arth ko uske pichhe ki or moDa ja sakta hai
aur parashn mein joDa ja sakta hai
kuch nahin mein bhi thoDa aa sakta hai
jitna door utna bhitar ki or
jitna gahra utna sathi
baqi sirf beech hai jo kahin bhi ho sakta hai

स्रोत :
रचनाकार : सोमेश शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.