एक श्रोत्रिय ब्राह्मण ने कहा
कि हम श्रोत्रिय जो होते हैं
वे ब्राह्मणों में सर्वश्रेष्ठ होते हैं
और बाक़ी ब्राह्मण शूद्र
एक वत्स भूमिहार ने कहा
कि हम वत्स जो होते हैं
वे भूमिहारों में सर्वश्रेष्ठ होते हैं
और बाक़ी भूमिहार अधम
एक चौहाण राजपूत ने कहा
कि हम चौहाण जो होते हैं
वे राजपूतों में सबसे बड़े होते हैं
और बाक़ी राजपूत नीच
एक अंबष्ठ कायस्थ ने कहा
कि हम अंबष्ठ जो होते हैं
वे कायस्थों में सर्वश्रेष्ठ होते हैं
और बाक़ी कायस्थ निम्न
एक भगत कलबार ने कहा
कि हम भगत जो होते हैं
वे कलबारों में सर्वश्रेष्ठ होते हैं
और बाक़ी कलबार अंत्यज
एक कृष्णायत यादव ने कहा
की हम कृष्णायत जो होते हैं
वे यादवों में सर्वश्रेष्ठ होते हैं
और बाक़ी यादव कमीन
एक अवधिया कुर्मी ने कहा
कि हम अवधिया जो होते हैं
वे कुर्मियों में सर्वश्रेष्ठ होते हैं
और बाक़ी कुर्मी चांडाल
एक मौर्य कोयरी ने कहा
कि हम मौर्य जो होते हैं
वे कोयरियों में सर्वश्रेष्ठ होते हैं
और बाक़ी कोयरी अज्ञात-कुलहीन
एक बालियान जाट ने कहा
कि हम बालियान जो होते हैं
वे जाटों में सर्वोच्च कुलोत्पन्न होते हैं
और बाक़ी जाट शूद्रातिशूद्र
एक नागर गुर्जर ने कहा
कि हम नागर जो होते हैं
वे गुर्जरों में सर्वश्रेष्ठ होते हैं
और बाक़ी गुर्जर अछूत
एक रविदासिए चमार ने कहा
कि हम रविदासिए जो होते हैं
वे चमारों में ब्राह्मण होते हैं
और बाक़ी चमार अस्पृश्य
एक मधेशी पासवान ने कहा
कि हम मधेशी जो होते हैं
वे पासवानों में राजपूत होते हैं
और बाक़ी पासवान पिछड़े
एक नावरिया खटिक ने कहा
कि हम नावरिया जो होते हैं
वे खटिकों के राजा होते हैं
और बाक़ी खटिक उनकी प्रजा
एक किस्कू आदिवासी ने कहा
की हम किस्कू जो होते हैं
वे आदिवासियों में शेर होते हैं
और बाक़ी आदिवासी गीदड़
जिस देश को
इतनी जातियों और उपजातियों में
बाँट दिया गया हो
और जहाँ पर
एक ही जाति के कुछ लोग
अपने को सर्वश्रेष्ठ और सबसे बड़ा बताते हों
और अपने ही भाई-बंधुओं को अधम और नीच
उसके लिए
भारत क्या ख़ाक सर्वश्रेष्ठ और सबसे बड़ा होगा!
ek shrotriy brahman ne kaha
ki hum shrotriy jo hote hain
we brahmnon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi brahman shoodr
ek wats bhumihar ne kaha
ki hum wats jo hote hain
we bhumiharon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi bhumihar adham
ek chauhan rajput ne kaha
ki hum chauhan jo hote hain
we rajputon mein sabse baDe hote hain
aur baqi rajput neech
ek ambashth kayasth ne kaha
ki hum ambashth jo hote hain
we kayasthon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi kayasth nimn
ek bhagat kalbar ne kaha
ki hum bhagat jo hote hain
we kalbaron mein sarwashreshth hote hain
aur baqi kalbar antyaj
ek krishnayat yadaw ne kaha
ki hum krishnayat jo hote hain
we yadwon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi yadaw kamin
ek awadhiya kurmi ne kaha
ki hum awadhiya jo hote hain
we kurmiyon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi kurmi chanDal
ek maury koyri ne kaha
ki hum maury jo hote hain
we koyariyon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi koyri agyat kulhin
ek baliyan jat ne kaha
ki hum baliyan jo hote hain
we jaton mein sarwochch kulotpann hote hain
aur baqi jat shudratishudr
ek nagar gurjar ne kaha
ki hum nagar jo hote hain
we gurjron mein sarwashreshth hote hain
aur baqi gurjar achhut
ek rawidasiye chamar ne kaha
ki hum rawidasiye jo hote hain
we chamaron mein brahman hote hain
aur baqi chamar asprishy
ek madheshi paswan ne kaha
ki hum madheshi jo hote hain
we paswanon mein rajput hote hain
aur baqi paswan pichhDe
ek nawariya khatik ne kaha
ki hum nawariya jo hote hain
we khatikon ke raja hote hain
aur baqi khatik unki praja
ek kisku adiwasi ne kaha
ki hum kisku jo hote hain
we adiwasiyon mein sher hote hain
aur baqi adiwasi gidaD
jis desh ko
itni jatiyon aur upjatiyon mein
bant diya gaya ho
aur jahan par
ek hi jati ke kuch log
apne ko sarwashreshth aur sabse baDa batate hon
aur apne hi bhai bandhuon ko adham aur neech
uske liye
bharat kya khak sarwashreshth aur sabse baDa hoga!
ek shrotriy brahman ne kaha
ki hum shrotriy jo hote hain
we brahmnon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi brahman shoodr
ek wats bhumihar ne kaha
ki hum wats jo hote hain
we bhumiharon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi bhumihar adham
ek chauhan rajput ne kaha
ki hum chauhan jo hote hain
we rajputon mein sabse baDe hote hain
aur baqi rajput neech
ek ambashth kayasth ne kaha
ki hum ambashth jo hote hain
we kayasthon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi kayasth nimn
ek bhagat kalbar ne kaha
ki hum bhagat jo hote hain
we kalbaron mein sarwashreshth hote hain
aur baqi kalbar antyaj
ek krishnayat yadaw ne kaha
ki hum krishnayat jo hote hain
we yadwon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi yadaw kamin
ek awadhiya kurmi ne kaha
ki hum awadhiya jo hote hain
we kurmiyon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi kurmi chanDal
ek maury koyri ne kaha
ki hum maury jo hote hain
we koyariyon mein sarwashreshth hote hain
aur baqi koyri agyat kulhin
ek baliyan jat ne kaha
ki hum baliyan jo hote hain
we jaton mein sarwochch kulotpann hote hain
aur baqi jat shudratishudr
ek nagar gurjar ne kaha
ki hum nagar jo hote hain
we gurjron mein sarwashreshth hote hain
aur baqi gurjar achhut
ek rawidasiye chamar ne kaha
ki hum rawidasiye jo hote hain
we chamaron mein brahman hote hain
aur baqi chamar asprishy
ek madheshi paswan ne kaha
ki hum madheshi jo hote hain
we paswanon mein rajput hote hain
aur baqi paswan pichhDe
ek nawariya khatik ne kaha
ki hum nawariya jo hote hain
we khatikon ke raja hote hain
aur baqi khatik unki praja
ek kisku adiwasi ne kaha
ki hum kisku jo hote hain
we adiwasiyon mein sher hote hain
aur baqi adiwasi gidaD
jis desh ko
itni jatiyon aur upjatiyon mein
bant diya gaya ho
aur jahan par
ek hi jati ke kuch log
apne ko sarwashreshth aur sabse baDa batate hon
aur apne hi bhai bandhuon ko adham aur neech
uske liye
bharat kya khak sarwashreshth aur sabse baDa hoga!
स्रोत :
रचनाकार : पंकज चौधरी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.