जुगुप्साओं के समाप्त होने पर पत्थर आँखों से वह
सड़क को घूरता है।
लोग आदर्श या उदाहरण ढूँढ़ते हैं
कबाड़ी की दुकानों में!
मैं बूढ़ी आँखों से प्यार नहीं कर सकती।
लड़कियाँ प्रेमी नहीं
पशु चाहती हैं।
कल रात मैं जंगल में भाग जाऊँगी और वह पड़ोसी
लड़की की जाँघों पर अपना नाम लिखता रहेगा
या आकृतियाँ बनाता रहेगा।
उसकी छाती में छिद्र हो गए हैं
—छिद्रों में तीखी नमकीन हवा बहती है
पूरी दुनिया उजड़ा हुआ क़स्बा है।
मकानों से ठहाकों की आवाज़ें
आती हैं।
मेरी आँखें भुरभुरा गई हैं।
एक अंधी पीढ़ी को ग़ुलाम बनाने की अपेक्षा
नपुंसक और विदूषक
बना देने में मुझे अधिक संतोष होता है।
एक चील ने पूरे आसमान को ढक लिया है।
मेरा जिस्म
फूलता है पानी के गड्डों में पड़ा हुआ।
आप्लावित होकर लोग
स्थितियों के बदलने की
प्रतीक्षा करते हैं।
औरत को बेवक़ूफ़ मान लेने से
पुरुष को बड़ी सुविधा रहती है।
बिना सोचे-समझे वह
आग के गोले निगलता रहता है या
दुम हिलाता रहता है।
सुविधाओं के लिए पिल्ला बन जाने
या किसी मुर्ग़ाबी के पंखों
के नीचे दब जाने और
अख़बार की कतरन बन जाने में क्या बुराई है।
अधिभौतिक
स्थिति में जी लेने के पश्चात आत्मीय होना
खेद का विषय है।
सबसे अलग हो जाने की चेष्टा में नग्न हो जाना
अबौद्धिकता नहीं
पीड़ा है।
असहाय वेदना में कराहते हुए वह
ऑपरेशन टेबल पर लेट गया है।
उसे लगता है
पिंडलियों तक सरके हुए हाथ संतोषप्रद नहीं होते
हवा के बदल जाने पर व्यक्ति का बदल जाना
आर्श्चजनक कैसे हो सकता है।
तिनकों में चेहरा
ढूँढ़ने से अपना व्यक्तित्व छाँट लेने की सुविधा रहती है
है।
वह
घंटों बकवास कैसे कर सकती है।
उसे समझ नहीं आता
छाती के बल लेट जाने से वह सुरंग के छेद को छोटा कैसे
कर देगा।
लंबे हाथों से वह काँपती हथेलियाँ मसलता है
शरीर केंचुल में परिवर्तित हो उठता है।
व्यक्तिक्रम उसे भयानक लगता है।
घबड़ा कर वह भविष्य को खोदने लगता है।
सीढ़ियाँ
बढ़ती हैं
वह भागता है अपना आह्वान करते हुए।
अब वह लंबे बालों वाली लड़कियों के बाल काट देगा...
सब बातें सुविधा के लिए।
jugupsaon ke samapt hone par patthar ankhon se wo
saDak ko ghurta hai
log adarsh ya udaharn DhunDhate hain
kabaDi ki dukanon mein!
main buDhi ankhon se pyar nahin kar sakti
laDkiyan premi nahin
pashu chahti hain
kal raat main jangal mein bhag jaungi aur wo paDosi
laDki ki janghon par apna nam likhta rahega
ya akritiyan banata rahega
uski chhati mein chhidr ho gaye hain
—chhidron mein tikhi namkin hawa bahti hai
puri duniya ujDa hua qasba hai
makanon se thahakon ki awazen
ati hain
meri ankhen bhurbhura gai hain
ek andhi piDhi ko ghulam banane ki apeksha
napunsak aur widushak
bana dene mein mujhe adhik santosh hota hai
ek cheel ne pure asman ko Dhak liya hai
mera jism
phulta hai pani ke gaDDon mein paDa hua
aplawit hokar log
sthitiyon ke badalne ki
pratiksha karte hain
aurat ko bewaquf man lene se
purush ko baDi suwidha rahti hai
bina soche samjhe wo
ag ke gole nigalta rahta hai ya
dum hilata rahta hai
suwidhaon ke liye pilla ban jane
ya kisi murghabi ke pankhon
ke niche dab jane aur
akhbar ki katran ban jane mein kya burai hai
adhibhautik
sthiti mein ji lene ke pashchat atmiy hona
khed ka wishay hai
sabse alag ho jane ki cheshta mein nagn ho jana
abauddhikta nahin
piDa hai
asahaye wedna mein karahte hue wo
operation table par let gaya hai
use lagta hai
pinDaliyon tak sarke hue hath santoshaprad nahin hote
hawa ke badal jane par wekti ka badal jana
arshchajnak kaise ho sakta hai
tinkon mein chehra
DhunDhane se apna wyaktitw chhant lene ki suwidha rahti hai
hai
wo
ghanton bakwas kaise kar sakti hai
use samajh nahin aata
chhati ke bal let jane se wo surang ke chhed ko chhota kaise
kar dega
lambe hathon se wo kanpti hatheliyan masalta hai
sharir kenchul mein pariwartit ho uthta hai
wyaktikram use bhayanak lagta hai
ghabDa kar wo bhawishya ko khodne lagta hai
siDhiyan
baDhti hain
wo bhagta hai apna ahwan karte hue
ab wo lambe balon wali laDakiyon ke baal kat dega
sab baten suwidha ke liye
jugupsaon ke samapt hone par patthar ankhon se wo
saDak ko ghurta hai
log adarsh ya udaharn DhunDhate hain
kabaDi ki dukanon mein!
main buDhi ankhon se pyar nahin kar sakti
laDkiyan premi nahin
pashu chahti hain
kal raat main jangal mein bhag jaungi aur wo paDosi
laDki ki janghon par apna nam likhta rahega
ya akritiyan banata rahega
uski chhati mein chhidr ho gaye hain
—chhidron mein tikhi namkin hawa bahti hai
puri duniya ujDa hua qasba hai
makanon se thahakon ki awazen
ati hain
meri ankhen bhurbhura gai hain
ek andhi piDhi ko ghulam banane ki apeksha
napunsak aur widushak
bana dene mein mujhe adhik santosh hota hai
ek cheel ne pure asman ko Dhak liya hai
mera jism
phulta hai pani ke gaDDon mein paDa hua
aplawit hokar log
sthitiyon ke badalne ki
pratiksha karte hain
aurat ko bewaquf man lene se
purush ko baDi suwidha rahti hai
bina soche samjhe wo
ag ke gole nigalta rahta hai ya
dum hilata rahta hai
suwidhaon ke liye pilla ban jane
ya kisi murghabi ke pankhon
ke niche dab jane aur
akhbar ki katran ban jane mein kya burai hai
adhibhautik
sthiti mein ji lene ke pashchat atmiy hona
khed ka wishay hai
sabse alag ho jane ki cheshta mein nagn ho jana
abauddhikta nahin
piDa hai
asahaye wedna mein karahte hue wo
operation table par let gaya hai
use lagta hai
pinDaliyon tak sarke hue hath santoshaprad nahin hote
hawa ke badal jane par wekti ka badal jana
arshchajnak kaise ho sakta hai
tinkon mein chehra
DhunDhane se apna wyaktitw chhant lene ki suwidha rahti hai
hai
wo
ghanton bakwas kaise kar sakti hai
use samajh nahin aata
chhati ke bal let jane se wo surang ke chhed ko chhota kaise
kar dega
lambe hathon se wo kanpti hatheliyan masalta hai
sharir kenchul mein pariwartit ho uthta hai
wyaktikram use bhayanak lagta hai
ghabDa kar wo bhawishya ko khodne lagta hai
siDhiyan
baDhti hain
wo bhagta hai apna ahwan karte hue
ab wo lambe balon wali laDakiyon ke baal kat dega
sab baten suwidha ke liye
स्रोत :
पुस्तक : महाभिनिष्क्रमण (पृष्ठ 55)
रचनाकार : मोना गुलाटी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.