काठ की हाँडी
एक बार ही चढ़ती है
जानती हो तुम
मंज़ूर नहीं था तुम्हें शायद
यूँ एक बार चढ़ना
और जल जाना निरर्थक
इसलिए चुन ली तुमने
एक धातु उम्र
धातु को मिला फिर
एक रूप एक आकार
हाँडी, पतीली, कुकर, कड़ाही जैसा
मैं जानना चाहता हूँ
हाँडी होने के अर्थ
तान देती है जो ख़ुद को लपटों पर
और जलने को
बदल देती है पकने में
सच-सच बताना
क्या रिश्ता है तुम्हारा इस हाँडी से
माँजती हो इसे रोज़
चमकाती हो गुनगुनाते हुए
और छोड़ देती हो
उसका एक हिस्सा
जलने की जागीर-सा
ख़ामोशी से
कोई औपचारिक-सा ख़ून का रिश्ता मात्र
तो नहीं जान पड़ता
गुनगुनाते लगती है यह भी
तुम्हारे संग एक लय में
खुदबुदाने लगती है
तुम्हारी कड़छी और छुवन मात्र से
बिखेरने लगती है महक
उगलने लगती है
स्वाद के रहस्य
खीझती नहीं हो कभी भी इस पर
साझा करती है यह तुम्हारे संग
न चढ़ पाने का दुख
और तुम इसके संग
भरे मन और ख़ामोश निगाहों से
सच मैं जानना चाहता हूँ
कैसा है यह रिश्ता।
kath ki hanDi
ek bar hi chaDhti hai
janti ho tum
manzur nahin tha tumhein shayad
yoon ek bar chaDhna
aur jal jana nirarthak
isliye chun li tumne
ek dhatu umr
dhatu ko mila phir
ek roop ek akar
hanDi, patili, cooker, kaDahi jaisa
main janna chahta hoon
hanDi hone ke arth
tan deti hai jo khu ko lapton par
aur jalne ko
badal deti hai pakne mein
sach sach batana
kya rishta hai tumhara is hanDi se
manjati ho ise roz
chamkati ho gungunate hue
aur chhoD deti ho
uska ek hissa
jalne ki jagir sa
khamoshi se
koi aupacharik sa khoon ka rishta matr
to nahin jaan paDta
gungunate lagti hai ye bhi
tumhare sang ek lai mein
khudabudane lagti hai
tumhari kaDchhi aur chhuwan matr se
bikherne lagti hai mahak
ugalne lagti hai
swad ke rahasy
khijhti nahin ho kabhi bhi is par
sajha karti hai ye tumhare sang
na chaDh pane ka dukh
aur tum iske sang
bhare man aur khamosh nigahon se
sach main janna chahta hoon
kaisa hai ye rishta
kath ki hanDi
ek bar hi chaDhti hai
janti ho tum
manzur nahin tha tumhein shayad
yoon ek bar chaDhna
aur jal jana nirarthak
isliye chun li tumne
ek dhatu umr
dhatu ko mila phir
ek roop ek akar
hanDi, patili, cooker, kaDahi jaisa
main janna chahta hoon
hanDi hone ke arth
tan deti hai jo khu ko lapton par
aur jalne ko
badal deti hai pakne mein
sach sach batana
kya rishta hai tumhara is hanDi se
manjati ho ise roz
chamkati ho gungunate hue
aur chhoD deti ho
uska ek hissa
jalne ki jagir sa
khamoshi se
koi aupacharik sa khoon ka rishta matr
to nahin jaan paDta
gungunate lagti hai ye bhi
tumhare sang ek lai mein
khudabudane lagti hai
tumhari kaDchhi aur chhuwan matr se
bikherne lagti hai mahak
ugalne lagti hai
swad ke rahasy
khijhti nahin ho kabhi bhi is par
sajha karti hai ye tumhare sang
na chaDh pane ka dukh
aur tum iske sang
bhare man aur khamosh nigahon se
sach main janna chahta hoon
kaisa hai ye rishta
स्रोत :
पुस्तक : पगडंडियाँ गवाह हैं (पृष्ठ 11)
रचनाकार : आत्मा रंजन
प्रकाशन : अंतिका प्रकाशन
संस्करण : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.