तुम्हारे दक्ष हाथ
जब मेरी परिपक्व देह में
स्त्री खोज रहे थे
तो यह मेरी प्रीति के कई जन्मों की यात्रा थी
मैंने पहचाना तुम्हारा स्पर्श
तुम्हारी गति
तुम्हारा दबाव
तुम्हारी लय
हमारी मृदुल स्मृतियों में मैं एक भावपूर्ण नृत्यांगना थी
और
एक उपासक भी
उस पहाड़ की
जिस पर देवी का मंदिर था
प्रसाद रूप में अर्पित किए गेंदा-पुष्पों और सिंदूर से मेरी आस्था कभी नही जुड़ी
मेरी आस्था थी देवी की नीली रहस्यमय जीभ में
मेरी आस्था थी उसकी फैली बड़ी लाल जालों से भरी आँखों में
और
उसके क्रोधित सौंदर्य में उठे पैर की विनाशक आभा में
महिषासुर
बलशाली भुजाओं वाला महिषासुर वहाँ अपनी अंतिम निद्रा में था
इस दृश्य का भय
केवल तुम जानते थे
और मेरी आस्थाओं को भी केवल तुम देख पाते थे
तब भी तुम्हारे हाथ दक्ष थे
पतंग उड़ाने में
बेर तोड़ने में
संतरे छीलने में
और
प्रथम रक्तस्त्राव की असहनीय पीड़ा से बहे मेरे आँसू पोंछने में
आज भी तुम्हारे हाथ दक्ष हैं
मुझमें एक स्त्री खोजने में!
tumhare daksh hath
jab meri paripakw deh mein
istri khoj rahe the
to ye meri priti ke kai janmon ki yatra thi
mainne pahchana tumhara sparsh
tumhari gati
tumhara dabaw
tumhari lai
hamari mridul smritiyon mein main ek bhawapurn nrityangna thi
aur
ek upasak bhi
us pahaD ki
jis par dewi ka mandir tha
parsad roop mein arpit kiye genda pushpon aur sindur se meri astha kabhi nahi juDi
meri astha thi dewi ki nili rahasyamay jeebh mein
meri astha thi uski phaili baDi lal jalon se bhari ankhon mein
aur
uske krodhit saundarya mein uthe pair ki winashak aabha mein
mahishasur
balshali bhujaon wala mahishasur wahan apni antim nidra mein tha
is drishya ka bhay
kewal tum jante the
aur meri asthaon ko bhi kewal tum dekh pate the
tab bhi tumhare hath daksh the
patang uDane mein
ber toDne mein
santre chhilne mein
aur
pratham raktastraw ki asahniy piDa se bahe mere ansu ponchhne mein
aj bhi tumhare hath daksh hain
mujhmen ek istri khojne mein!

स्रोत :
रचनाकार : पूनम अरोड़ा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.