किसी ने थामी
सिर्फ़ एक उँगली
जो राह में ही छूट गई
किसी ने पकड़ी कलाई
मुड़ गई जो
थोड़ी देर बाद
कोई हद से बढ़ा
तो कंधे तक पहुँचा
छुए सभी ने
देह और चाह के
अलग-अलग हिस्से
किसी की कामना
कि वह मन को
उसकी जड़ से गहे
आत्मा की नींव तक उतरे
पर सब छुआ-अनछुआ
रह गया यूँ ही
अलग होते वक़्त
कुछ साथ नहीं रहा
ऐसी छूटी नहीं निशानी
कि देखकर चुपचाप
कोई कर ले मिलान
ढूँढ़ ले अपनी छाप
अब भी परती ज़मीन
और पुरानी भीत से सटकर
सुस्ता रहे कंडों पर
शरारती बच्चे रख रहे हैं हाथ
एक स्त्री टिकाए हुए है आँख
छोड़कर अपनी हथेलियों की रेख
देख सिहरती उपले का भाग!
kisi ne thami
sirf ek ungli
jo rah mein hi chhoot gai
kisi ne pakDi kalai
muD gai jo
thoDi der baad
koi had se baDha
to kandhe tak pahuncha
chhue sabhi ne
deh aur chah ke
alag alag hisse
kisi ki kamna
ki wo man ko
uski jaD se gahe
atma ki neenw tak utre
par sab chhua anachhua
rah gaya yoon hi
alag hote waqt
kuch sath nahin raha
aisi chhuti nahin nishani
ki dekhkar chupchap
koi kar le milan
DhoonDh le apni chhap
ab bhi parti zamin
aur purani bheet se satkar
susta rahe kanDon par
shararti bachche rakh rahe hain hath
ek istri tikaye hue hai ankh
chhoDkar apni hatheliyon ki rekh
dekh siharti uple ka bhag!
kisi ne thami
sirf ek ungli
jo rah mein hi chhoot gai
kisi ne pakDi kalai
muD gai jo
thoDi der baad
koi had se baDha
to kandhe tak pahuncha
chhue sabhi ne
deh aur chah ke
alag alag hisse
kisi ki kamna
ki wo man ko
uski jaD se gahe
atma ki neenw tak utre
par sab chhua anachhua
rah gaya yoon hi
alag hote waqt
kuch sath nahin raha
aisi chhuti nahin nishani
ki dekhkar chupchap
koi kar le milan
DhoonDh le apni chhap
ab bhi parti zamin
aur purani bheet se satkar
susta rahe kanDon par
shararti bachche rakh rahe hain hath
ek istri tikaye hue hai ankh
chhoDkar apni hatheliyon ki rekh
dekh siharti uple ka bhag!
स्रोत :
रचनाकार : शरद रंजन शरद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.