वे जब आते हैं रात-समय
दस्तक नहीं देते हैं
तोड़ते हैं दरवाज़े
और घुस आते हैं हमारे घरों में
वे दाढ़ी से घसीटते हैं
हमारे अब्बू को
छिन जाती है
हमारी अम्मा की ओढ़नी
या हम एक-दूसरे के सामने
नंगे किए जाते हैं
सिसकती है शर्म
बिखर जाते हैं रिश्ते।
वे नक़ाबपोश होते हैं
लेकिन
हम खोज ही लेते हैं उनके चेहरे
अतीत की पुस्तक के एक-एक पन्ने से
बचपन बिताए आँगन से
दफ़्तर में रखी सामने वाली कुर्सी से
एक साथ झुलाए हुए झूले से
स्कूल की कक्षा में बैठे लड़कों से।
हमारे बचपन के आँगन पर
रेंगते हैं साँप
यमराज दिखाई देता है
हमारी सामने वाली कुर्सी पर
जल जाती है
हमारे बचपन के झूले की रस्सी
हम उस काले नक़ाब के पीछे छिपे
कभी उस लड़के का चेहरा भी देखते हैं
जिसको हमने पढ़ाया होता है
पहली कक्षा में।
वे जब आते हैं रात-समय
ले जाते हैं जिसको वे चाहें घर-परिवार से
और कुछ दिनों के बाद
मिलती है उसकी लाश
किसी सेब के पेड़ से लटकी
या किसी चौराहे पर लटकी
मारने से पहले वे
लिख देते हैं अपना नाम
उसकी पीठ पर
आतंक की भाषा में
दहकती सलाखों से
आग के अक्षरों में।
वे जब आते हैं रात-समय
दस्तक नहीं देते हैं
तोड़ते हैं दरवाज़े
रौंदते हैं पाव तले
हमारी संस्कृति को
हमारे रिश्तों को
हमारी शर्म को।
ve jab aate hain raat samay
dastak nahin dete hain
toDte hain darvaze
aur ghus aate hain hamare gharon men
ve daDhi se ghasitte hain
hamare abbu ko
chhin jati hai
hamari amma ki oDhni
ya hum ek dusre ke samne
nange kiye jate hain
sisakti hai sharm
bikhar jate hain rishte.
ve naqabposh hote hain
lekin
hum khoj hi lete hain unke chehre
atit ki pustak ke ek ek panne se
bachpan bitaye angan se
daftar mein rakhi samne vali kursi se
ek saath jhulaye hue jhule se
skool ki kaksha mein baithe laDkon se.
hamare bachpan ke angan par
rengte hain saanp
yamraj dikhai deta hai
hamari samne vali kursi par
jal jati hai
hamare bachpan ke jhule ki rassi
hum us kale naqab ke pichhe chhipe
kabhi us laDke ka chehra bhi dekhte hain
jisko hamne paDhaya hota hai
pahli kaksha mein.
ve jab aate hain raat samay
le jate hain jisko ve chahen ghar parivar se
aur kuch dinon ke baad
milti hai uski laash
kisi seb ke peD se latki
ya kisi chaurahe par latki
marne se pahle ve
likh dete hain apna naam
uski peeth par
atank ki bhasha men
dahakti salakhon se
aag ke akshron mein.
ve jab aate hain raat samay
dastak nahin dete hain
toDte hain darvaze
raundte hain paav tale
hamari sanskriti ko
hamare rishton ko
hamari sharm ko.
ve jab aate hain raat samay
dastak nahin dete hain
toDte hain darvaze
aur ghus aate hain hamare gharon men
ve daDhi se ghasitte hain
hamare abbu ko
chhin jati hai
hamari amma ki oDhni
ya hum ek dusre ke samne
nange kiye jate hain
sisakti hai sharm
bikhar jate hain rishte.
ve naqabposh hote hain
lekin
hum khoj hi lete hain unke chehre
atit ki pustak ke ek ek panne se
bachpan bitaye angan se
daftar mein rakhi samne vali kursi se
ek saath jhulaye hue jhule se
skool ki kaksha mein baithe laDkon se.
hamare bachpan ke angan par
rengte hain saanp
yamraj dikhai deta hai
hamari samne vali kursi par
jal jati hai
hamare bachpan ke jhule ki rassi
hum us kale naqab ke pichhe chhipe
kabhi us laDke ka chehra bhi dekhte hain
jisko hamne paDhaya hota hai
pahli kaksha mein.
ve jab aate hain raat samay
le jate hain jisko ve chahen ghar parivar se
aur kuch dinon ke baad
milti hai uski laash
kisi seb ke peD se latki
ya kisi chaurahe par latki
marne se pahle ve
likh dete hain apna naam
uski peeth par
atank ki bhasha men
dahakti salakhon se
aag ke akshron mein.
ve jab aate hain raat samay
dastak nahin dete hain
toDte hain darvaze
raundte hain paav tale
hamari sanskriti ko
hamare rishton ko
hamari sharm ko.
स्रोत :
रचनाकार : निदा नवाज़
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.