रोज़ाना मेरे पास आ बैठा करती एक सुगंध
मैं उसे पढ़ाता उसका विज्ञान
वह भौतिकता से ऊबती और सुनना चाहती
ज़िक्र एक फूल का
मैं उसकी भीतरी दुनिया को समझ रहा होता गुपचुप
अपने पाँवों से नाप रही होती
वह करवट बदलते समय को
अनजाने में हो जाती थी प्रविष्ट
उससे मिलने वालों के हृदय में
वह बोलती थी तो जैसे बजने लगता था सितार
उसकी आँखों में ख़ामोश ठिकाने हरकत करते रहते
कभी-कभी वह कुछ तय करती
और आज़माती अपने सौंदर्य को
कामयाबी पर मुस्कराती और फ़ख़्र करती कि वह लड़की है
पत्र भेजती फूल को फिर यह भूलना उसे एक खेल लगता
उठी पास से विदा करते हुए वह डूबी होती गहरी तसल्ली में
गुम हुई वह यकायक दृश्य से पर जा नहीं सकी साँस से अलग
एकाकीपन में आ बैठती स्मृति के नज़दीक़ और टीस देती
स्वप्न में आकर कहती चाहिए है उसे अब भी एक रोशनदान
निचले कमरों के रोशनदारों को बंद कर आती जा रही और ऊपर
रोज़ाना आकर नहीं बैठती मेरे पास वह सुगंध
कभी-कभार भी नहीं मान पाता अब मैं ख़ुद को फूल
rozana mere pas aa baitha karti ek sugandh
main use paDhata uska wigyan
wo bhautikta se ubti aur sunna chahti
zikr ek phool ka
main uski bhitari duniya ko samajh raha hota gupchup
apne panwon se nap rahi hoti
wo karwat badalte samay ko
anjane mein ho jati thi prawisht
usse milne walon ke hirdai mein
wo bolti thi to jaise bajne lagta tha sitar
uski ankhon mein khamosh thikane harkat karte rahte
kabhi kabhi wo kuch tay karti
aur azmati apne saundarya ko
kamyabi par muskrati aur fakhr karti ki wo laDki hai
patr bhejti phool ko phir ye bhulna use ek khel lagta
uthi pas se wida karte hue wo Dubi hoti gahri tasalli mein
gum hui wo yakayak drishya se par ja nahin saki sans se alag
ekakipan mein aa baithti smriti ke nazdiq aur tees deti
swapn mein aakar kahti chahiye hai use ab bhi ek roshandan
nichle kamron ke roshandaron ko band kar aati ja rahi aur upar
rozana aakar nahin baithti mere pas wo sugandh
kabhi kabhar bhi nahin man pata ab main khu ko phool

स्रोत :
पुस्तक : साक्षात्कार 275 (पृष्ठ 59)
संपादक : भगवत रावत
रचनाकार : ब्रज श्रीवास्तव
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.