तुम्हारे गालों और ठोढ़ी के बीच ये जो तीन तिल हैं ना
काव्यशास्त्र में वर्णित कवियों के तीन गुण हैं
तुम्हारी आँखों में देखते हुए भूल सकता हूँ
सबसे भयानक तानाशाह की सबसे डरावनी हँसी
मेरे हाथों को अपने हाथों में लिए
तुम्हारा यूँ दिल्ली की सड़कों पर बेलौस चलना
सत्ता के दमन के ख़िलाफ़ किसी जुलूस में चलना है
तालाब के पानी में पैरों को डाले
बतख़ों के झुंड से अठखेलियाँ करते हुए
तुम्हारा नेरूदा की कविता 'चीड़ के पेड़ों का गीत' सुनाने का अनुरोध करना
कविता और स्त्री में मेरी अक़ीदत को कितना मज़बूत करता है
बस अड्डे के इंतज़ारी कमरे में मुझे अपनी गोद में लिटा
धीमे-धीमे कान में तुम्हारा एक सौ सोलह चाँद की रातें... सुनाना
एक बार गुलज़ार को भी रश्क करने पर मजबूर कर सकता है
तुम्हारा साढ़े चार पहर मेरे साथ इतने रंगों इतने ढँगों में यूँ रहना
जीवन की एकरसता में इतने रस घोल गया है कि
हृदय संतूर
मन मृदंग हो गया है
tumhare galon aur thoDhi ke beech ye jo teen til hain na
kawyashastr mein warnait kawiyon ke teen gun hain
tumhari ankhon mein dekhte hue bhool sakta hoon
sabse bhayanak tanashah ki sabse Darawni hansi
mere hathon ko apne hathon mein liye
tumhara yoon dilli ki saDkon par belaus chalna
satta ke daman ke khilaf kisi julus mein chalna hai
talab ke pani mein pairon ko Dale
batkhon ke jhunD se athkheliyan karte hue
tumhara neruda ki kawita cheeD ke peDon ka geet sunane ka anurodh karna
kawita aur istri mein meri aqidat ko kitna mazbut karta hai
bus aDDe ke intzari kamre mein mujhe apni god mein lita
dhime dhime kan mein tumhara ek sau solah chand ki raten sunana
ek bar gulzar ko bhi rashk karne par majbur kar sakta hai
tumhara saDhe chaar pahar mere sath itne rangon itne Dhangon mein yoon rahna
jiwan ki ekrasta mein itne ras ghol gaya hai ki
hirdai santur
man mridang ho gaya hai

स्रोत :
रचनाकार : सुधांशु फ़िरदौस
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.