मैंने ग़ौर से देखा और पाया कि राष्ट्र के प्रधान के
जीवन में नींद नहीं
मंत्रिमंडल की बैठक हमेशा देर रात
हर ज़रूरी फ़ैसला आधी रात के बाद
फ़ौज की तैनाती का हुक्म ढाई बजे रात
विरोधियों की नज़रबंदी का आदेश पौने तीन
चीनी पर टैक्स बढ़ाने का फ़ैसला मध्य रात्रि के इर्द-गिर्द
विदेश यात्रा की उड़ान रात दो बजे
विदेशी मेहमान का विमानपत्तन पर स्वागत तीन बजे
हत्यारों से मंत्रणा किसी भी क्षण
जीवन में नींद नहीं
राजा चुपके से काटता है चक्कर रात में
नए-नए भेस में अलग-अलग घात में
जो सोए उनके माथे से तकिया खींचता
फेंकता खलिहान में लुकाठी
मसोमात के खेत से मूली उखाड़ता
खोलता बदरू की पाठी
गुद्दा गटक फेंकता आँगनों में आँठी
जीवन में नींद नहीं
माना कि वहाँ बहुत उजाला है
फिर भी रात में रात तो है ही
और इधर आलम ये कि नौ बजते-बजते ढेर
और दस तक तो देह के सारे पुरज़े खोल
मैं विसर्जित हो जाता हूँ महासमुद्र में
सो, मैं भारत का एक नागरिक, एतद् द्वारा घोषणा करता हूँ कि
नींद
मुझे राष्ट्र के सर्वोच्च पद से ज्य़ादा प्यारी है।
mainne ghaur se dekha aur paya ki rashtra ke pardhan ke
jiwan mein neend nahin
mantrimanDal ki baithak hamesha der raat
har zaruri faisla aadhi raat ke baad
fauj ki tainati ka hukm Dhai baje raat
wirodhiyon ki nazarbandi ka adesh paune teen
chini par tax baDhane ka faisla madhya ratri ke ird gird
widesh yatra ki uDan raat do baje
wideshi mehman ka wimanpattan par swagat teen baje
hatyaron se mantrna kisi bhi kshan
jiwan mein neend nahin
raja chupke se katta hai chakkar raat mein
nae nae bhes mein alag alag ghat mein
jo soe unke mathe se takiya khinchta
phenkta khalihan mein lukathi
masomat ke khet se muli ukhaDta
kholta badru ki pathi
gudda gatak phenkta anganon mein anthi
jiwan mein neend nahin
mana ki wahan bahut ujala hai
phir bhi raat mein raat to hai hi
aur idhar aalam ye ki nau bajte bajte Dher
aur das tak to deh ke sare purze khol
main wisarjit ho jata hoon mahasamudr mein
so, main bharat ka ek nagarik, etad dwara ghoshana karta hoon ki
neend
mujhe rashtra ke sarwochch pad se jyada pyari hai
mainne ghaur se dekha aur paya ki rashtra ke pardhan ke
jiwan mein neend nahin
mantrimanDal ki baithak hamesha der raat
har zaruri faisla aadhi raat ke baad
fauj ki tainati ka hukm Dhai baje raat
wirodhiyon ki nazarbandi ka adesh paune teen
chini par tax baDhane ka faisla madhya ratri ke ird gird
widesh yatra ki uDan raat do baje
wideshi mehman ka wimanpattan par swagat teen baje
hatyaron se mantrna kisi bhi kshan
jiwan mein neend nahin
raja chupke se katta hai chakkar raat mein
nae nae bhes mein alag alag ghat mein
jo soe unke mathe se takiya khinchta
phenkta khalihan mein lukathi
masomat ke khet se muli ukhaDta
kholta badru ki pathi
gudda gatak phenkta anganon mein anthi
jiwan mein neend nahin
mana ki wahan bahut ujala hai
phir bhi raat mein raat to hai hi
aur idhar aalam ye ki nau bajte bajte Dher
aur das tak to deh ke sare purze khol
main wisarjit ho jata hoon mahasamudr mein
so, main bharat ka ek nagarik, etad dwara ghoshana karta hoon ki
neend
mujhe rashtra ke sarwochch pad se jyada pyari hai
स्रोत :
रचनाकार : अरुण कमल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.