बहुत दिनों से कोई मेरे घर नहीं आया
तो मैं सबके घर गया
सबने कहा, कोई नहीं आता अब
कोई नहीं।
कुछ समय से बदल रहीं थी वह जगह
और साथ-साथ घर
बहुत सारी उपयोगी चीज़ें पड़ी थीं बदलने के लिए
बहुत सारी अनपेक्षित वस्तुएँ इंतज़ार में थीं
घरों में प्रवेश के लिए।
हम किसी घर की जगह बाज़ार जाते
और वापस अपने घर लौट आते
फिर बहुत दिनों बाद
जब नहीं आता कोई
तो कुछ इसी तरह की बातें करते।
bahut dinon se koi mere ghar nahin aaya
to main sabke ghar gaya
sabne kaha, koi nahin aata ab
koi nahin
kuch samay se badal rahin thi wo jagah
aur sath sath ghar
bahut sari upyogi chizen paDi theen badalne ke liye
bahut sari anpekshait wastuen intzar mein theen
gharon mein prawesh ke liye
hum kisi ghar ki jagah bazar jate
aur wapas apne ghar laut aate
phir bahut dinon baad
jab nahin aata koi
to kuch isi tarah ki baten karte
bahut dinon se koi mere ghar nahin aaya
to main sabke ghar gaya
sabne kaha, koi nahin aata ab
koi nahin
kuch samay se badal rahin thi wo jagah
aur sath sath ghar
bahut sari upyogi chizen paDi theen badalne ke liye
bahut sari anpekshait wastuen intzar mein theen
gharon mein prawesh ke liye
hum kisi ghar ki jagah bazar jate
aur wapas apne ghar laut aate
phir bahut dinon baad
jab nahin aata koi
to kuch isi tarah ki baten karte
स्रोत :
पुस्तक : दसों दिशाओं में (पृष्ठ 23)
रचनाकार : नवल शुक्ल
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.