मैं चलता हूँ
या अब मुझे चलना चाहिए
कहता हुआ आता हूँ
घर के दरवाज़े पर
फिर कब आ पाऊँगा
या फिर मुझे जल्दी आ जाना चाहिए
मेरा झोला ठीक करते हुए
माँ कहती थी, जब वह थी
और दरवाज़े से आँख भर मेरा जाना देखती थी
इस तरह से अपनी नौकरी पर जाने को निकलता हूँ
घर से और थोड़ा घर पर ही छूट जाता हूँ
रुलाई बाहर आने से रोकता हूँ
बड़े भाई को कहता हूँ—
फलाँ काम देख लीजिएगा
मौसी के यहाँ चले जाइएगा, सुना है बीमार है
अब वही तो एक बहन बची है माँ की!
याद है गुड़ के अरसे कितना
भेजा करती थी हमारे लिए!
चाहता हूँ बस छूट ही जाए!
कोई छूटी चीज़ याद आ जाए
और भागूँ घर के अंदर
अभिनय करूँ भीतर आते हुए
कि कमरे की खिड़की
शायद खुली तो नहीं रह गई!
शहर के किराए के घर की चाबी तो
नहीं भूल आया ताखे पर!
जब तक शहर के लिए बस आ नहीं जाती
नज़र बचाकर देखता रहता हूँ घर को
main chalta hoon
ya ab mujhe chalna chahiye
kahta hua aata hoon
ghar ke darwaze par
phir kab aa paunga
ya phir mujhe jaldi aa jana chahiye
mera jhola theek karte hue
man kahti thi, jab wo thi
aur darwaze se ankh bhar mera jana dekhti thi
is tarah se apni naukari par jane ko nikalta hoon
ghar se aur thoDa ghar par hi chhoot jata hoon
rulai bahar aane se rokta hoon
baDe bhai ko kahta hoon—
phalan kaam dekh lijiyega
mausi ke yahan chale jaiyega, suna hai bimar hai
ab wahi to ek bahan bachi hai man kee!
yaad hai guD ke arse kitna
bheja karti thi hamare liye!
chahta hoon bus chhoot hi jaye!
koi chhuti cheez yaad aa jaye
aur bhagun ghar ke andar
abhinay karun bhitar aate hue
ki kamre ki khiDki
shayad khuli to nahin rah gai!
shahr ke kiraye ke ghar ki chabi to
nahin bhool aaya takhe par!
jab tak shahr ke liye bus aa nahin jati
nazar bachakar dekhta rahta hoon ghar ko
main chalta hoon
ya ab mujhe chalna chahiye
kahta hua aata hoon
ghar ke darwaze par
phir kab aa paunga
ya phir mujhe jaldi aa jana chahiye
mera jhola theek karte hue
man kahti thi, jab wo thi
aur darwaze se ankh bhar mera jana dekhti thi
is tarah se apni naukari par jane ko nikalta hoon
ghar se aur thoDa ghar par hi chhoot jata hoon
rulai bahar aane se rokta hoon
baDe bhai ko kahta hoon—
phalan kaam dekh lijiyega
mausi ke yahan chale jaiyega, suna hai bimar hai
ab wahi to ek bahan bachi hai man kee!
yaad hai guD ke arse kitna
bheja karti thi hamare liye!
chahta hoon bus chhoot hi jaye!
koi chhuti cheez yaad aa jaye
aur bhagun ghar ke andar
abhinay karun bhitar aate hue
ki kamre ki khiDki
shayad khuli to nahin rah gai!
shahr ke kiraye ke ghar ki chabi to
nahin bhool aaya takhe par!
jab tak shahr ke liye bus aa nahin jati
nazar bachakar dekhta rahta hoon ghar ko
स्रोत :
रचनाकार : विनय सौरभ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.