उन्होंने जगह तय कर ली है
मेरे घर की बालकनी की छत का एक कोना
तय कर लिया है उन्होंने
कि वे अपने घर यहीं बनाएँगे
वे दोनों बहुत जल्दी में हैं
कि कब घर बने और
कब बसे उनका घर-संसार
कबूतर एक-एक तिनका कमाकर लाता है
कबूतरी बड़े जतन से
एक-एक तिनके को सहेज-सँभालकर
कबूतर की चोंच से लेती है
और तामीर करती है
अपना घर-संसार
पूरा दिन—यानी उनकी उम्र का
एक हिस्सा लग जाता है
उन्हें घर बनाने में।
घर बन गया है
कबूतर नाच-नाचकर रिझा रहा है
कबूतरी को
कबूतरी नखरैल होकर
इधर-उधर घूमती है
थोड़ी देर पहले
दोनों जुटे हुए थे घर तामीर करने में
घर तामीर करने की ख़ुशी में
सारा दिन खटने के बाद भी
थके नहीं वे दोनों
नाच-झूमकर प्रवेश करना चाहते हैं।
एक-दूसरे की आत्मा में
और बसाना चाहते हैं
अपना घर-संसार
कितनी बड़ी है यह दुनिया
जो सिमटकर रह जाती है
एक छोटे से घर में
उस छोटे से घर के छोटे से
घर-संसार में।
unhonne jagah tay kar li hai
mere ghar ki balakni ki chhat ka ek kona
tay kar liya hai unhonne
ki we apne ghar yahin banayenge
we donon bahut jaldi mein hain
ki kab ghar bane aur
kab base unka ghar sansar
kabutar ek ek tinka kamakar lata hai
kabutari baDe jatan se
ek ek tinke ko sahej sanbhalakar
kabutar ki chonch se leti hai
aur tamir karti hai
apna ghar sansar
pura din—yani unki umr ka
ek hissa lag jata hai
unhen ghar banane mein
ghar ban gaya hai
kabutar nach nachkar rijha raha hai
kabutari ko
kabutari nakhrail hokar
idhar udhar ghumti hai
thoDi der pahle
donon jute hue the ghar tamir karne mein
ghar tamir karne ki khushi mein
sara din khatne ke baad bhi
thake nahin we donon
nach jhumkar prawesh karna chahte hain
ek dusre ki aatma mein
aur basana chahte hain
apna ghar sansar
kitni baDi hai ye duniya
jo simatkar rah jati hai
ek chhote se ghar mein
us chhote se ghar ke chhote se
ghar sansar mein
unhonne jagah tay kar li hai
mere ghar ki balakni ki chhat ka ek kona
tay kar liya hai unhonne
ki we apne ghar yahin banayenge
we donon bahut jaldi mein hain
ki kab ghar bane aur
kab base unka ghar sansar
kabutar ek ek tinka kamakar lata hai
kabutari baDe jatan se
ek ek tinke ko sahej sanbhalakar
kabutar ki chonch se leti hai
aur tamir karti hai
apna ghar sansar
pura din—yani unki umr ka
ek hissa lag jata hai
unhen ghar banane mein
ghar ban gaya hai
kabutar nach nachkar rijha raha hai
kabutari ko
kabutari nakhrail hokar
idhar udhar ghumti hai
thoDi der pahle
donon jute hue the ghar tamir karne mein
ghar tamir karne ki khushi mein
sara din khatne ke baad bhi
thake nahin we donon
nach jhumkar prawesh karna chahte hain
ek dusre ki aatma mein
aur basana chahte hain
apna ghar sansar
kitni baDi hai ye duniya
jo simatkar rah jati hai
ek chhote se ghar mein
us chhote se ghar ke chhote se
ghar sansar mein
स्रोत :
पुस्तक : मुक्ति-द्वार के सामने (पृष्ठ 79)
रचनाकार : प्रताप सहगल
प्रकाशन : अमरसत्य प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.