एक मेरा घर है
जहाँ मैं रहता हूँ
एक मेरा पड़ोस है
जहाँ पड़ोसी रहते हैं
पड़ोसी कभी देखते हैं
तो दूर से मुस्कुरा देते हैं
बदले में मैं भी मुस्कुराता हूँ
यदि नज़र पहले मेरी पड़ी तो
यह क्रम उलट जाता है
न वे मेरे घर आते
न मैं उनके घर जाता
हममें लड़ाई या कहा-सुनी की गुंजाइश बिल्कुल नहीं है
गो कि वक़्त ही कहाँ है हमारे पास इतना
उनके घर में लेकिन वही धारावाहिक देखे जाते
जो हमारे घर में
उनकी खिड़कियों के फ्रेम पर फुदकने वाली चिड़िया
हमारी खिड़कियों के फ्रेम पर भी फुदकती
कभी-कभी पतंग कट कर
उनकी छत पर गिरते-गिरते
हमारी छत पर गिर जाती
एक ही भूरा बिल्ला
दोनों के पतीले से दूध चट कर भाग जाता
हम दोनों के बच्चे एक साथ
सड़क पर खेलते
एक ही जैसे खेल
वे अभी बच्चे हैं
वे साथ-साथ खेलते हैं
उछलते-कूदते हैं
जब वे बड़े हो जाएँगे
तो एक उनका भी घर होगा
और ऐसा ही उनका भी एक पड़ोस।
ek mera ghar hai
jahan main rahta hoon
ek mera paDos hai
jahan paDosi rahte hain
paDosi kabhi dekhte hain
to door se muskura dete hain
badle mein main bhi muskurata hoon
yadi nazar pahle meri paDi to
ye kram ulat jata hai
na we mere ghar aate
na main unke ghar jata
hammen laDai ya kaha suni ki gunjaish bilkul nahin hai
go ki waqt hi kahan hai hamare pas itna
unke ghar mein lekin wahi dharawahik dekhe jate
jo hamare ghar mein
unki khiDakiyon ke phrem par phudakne wali chiDiya
hamari khiDakiyon ke phrem par bhi phudakti
kabhi kabhi patang kat kar
unki chhat par girte girte
hamari chhat par gir jati
ek hi bhura billa
donon ke patile se doodh chat kar bhag jata
hum donon ke bachche ek sath
saDak par khelte
ek hi jaise khel
we abhi bachche hain
we sath sath khelte hain
uchhalte kudte hain
jab we baDe ho jayenge
to ek unka bhi ghar hoga
aur aisa hi unka bhi ek paDos
ek mera ghar hai
jahan main rahta hoon
ek mera paDos hai
jahan paDosi rahte hain
paDosi kabhi dekhte hain
to door se muskura dete hain
badle mein main bhi muskurata hoon
yadi nazar pahle meri paDi to
ye kram ulat jata hai
na we mere ghar aate
na main unke ghar jata
hammen laDai ya kaha suni ki gunjaish bilkul nahin hai
go ki waqt hi kahan hai hamare pas itna
unke ghar mein lekin wahi dharawahik dekhe jate
jo hamare ghar mein
unki khiDakiyon ke phrem par phudakne wali chiDiya
hamari khiDakiyon ke phrem par bhi phudakti
kabhi kabhi patang kat kar
unki chhat par girte girte
hamari chhat par gir jati
ek hi bhura billa
donon ke patile se doodh chat kar bhag jata
hum donon ke bachche ek sath
saDak par khelte
ek hi jaise khel
we abhi bachche hain
we sath sath khelte hain
uchhalte kudte hain
jab we baDe ho jayenge
to ek unka bhi ghar hoga
aur aisa hi unka bhi ek paDos
स्रोत :
रचनाकार : बसंत त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.