यहाँ मैं काम करता हूँ
वहीं रहता भी हूँ
इक कमरे में,
यह बात दूसरी है
आधे कमरे में
अलमारियाँ और स्टोर हैं
साथ के कमरे में है दफ़्तर मेरा
मुझे दफ़्तर आने या घर वापिस
जाने के लिए
पार करनी पड़ती है
सिर्फ़ एक दहलीज़
बीमार होता हूँ तो दफ़्तर नहीं जाता
मेरे अफ़सर और कर्मचारी साथी
वही दहलीज़ लाँघकर
मेरा हाल पूछने आ जाते हैं
घर तो इक एहसास है
जिस ठिकाने से
लगाव हो जाए, घर है
जिस समय मेरी ड्यूटी
समाप्त होती है
दूसरी शिफ़्ट आरंभ होती है
मैं अपने कमरे में
लंबी चादर तानकर
गहरी नींद सो जाता हूँ
दफ़्तर की खचाखच से दूर
साथ वाला कमरा इतना
दूर लगता है
जैसे घर से दफ़्तर।
yahan main kaam karta hoon
wahin rahta bhi hoon
ik kamre mein,
ye baat dusri hai
adhe kamre mein
almariyan aur store hain
sath ke kamre mein hai daftar
mera mujhe daftar aane ya ghar wapis
jane ke liye
par karni paDti hai
sirf ek dahliz
bimar hota hoon to daftar nahin jata
mere afsar aur karmachari sathi
wahi dahliz langhakar
mera haal puchhne aa jate hain
ghar to ek ehsas hai
jis thikane se
lagaw ho jaye, ghar hai
jis samay meri duty
samapt hoti hai
dusri shift arambh hoti hai
main apne kamre mein
lambi chadar tankar
gahri neend so jata hoon
daftar ki khachakhach door
sathwala kamra itna
door lagta hai
jaise ghar se daftar
(mool shirshkah ghar te daftar)
yahan main kaam karta hoon
wahin rahta bhi hoon
ik kamre mein,
ye baat dusri hai
adhe kamre mein
almariyan aur store hain
sath ke kamre mein hai daftar
mera mujhe daftar aane ya ghar wapis
jane ke liye
par karni paDti hai
sirf ek dahliz
bimar hota hoon to daftar nahin jata
mere afsar aur karmachari sathi
wahi dahliz langhakar
mera haal puchhne aa jate hain
ghar to ek ehsas hai
jis thikane se
lagaw ho jaye, ghar hai
jis samay meri duty
samapt hoti hai
dusri shift arambh hoti hai
main apne kamre mein
lambi chadar tankar
gahri neend so jata hoon
daftar ki khachakhach door
sathwala kamra itna
door lagta hai
jaise ghar se daftar
(mool shirshkah ghar te daftar)
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक डोगरी कविता चयनिका (पृष्ठ 67)
संपादक : ओम गोस्वामी
रचनाकार : वेदपाल 'दीप'
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.